Jab Se Mobile Par Internet Data Sasta Aur Free Hua Hai Tab Se Hum Mobile Se Hi Har Kaam Ko Karna Pasand Karte Hai Yu Kahe To Ab Jamana Mobile Friendly Ho Chuka Hai. Suppose Ki Aapko Kahi Bahar Jana Ho Aur Aap Apne important Docunments Ko Ghar Par Hi Bhul Gaye Ho, Aur Aapse Aapka Docunment Ko Maga Jae To Aise Me Aap Kya Karege. To Aaj Mai Aapko Ye Batane Wala Hu Ki Aap Agar Apne Docunments Ko Kabhi Apne Ghar Par Bhul Jate hai Aur Aapse Aapke Docunment Ko Maga jata Hai To Aap Us Condition Me Digilocker Ki Help Se Apne Docunments Ko Dikha Sakte Hai.
Aaj Ki Is Post Me Mai Aapko Ye Batauga Ki Digilocker Kya Hai? Digilocker Me New Account Kaise Banaye? Digilocker Me Apne Docunments Ko Kaise Save Kare? Digilocker Ke Kya-2 Fayade Hai Aur Digilocker Kitna Safe Hai. To Aaiye jante Hai.
Digilocker Kya Hai? What is Digilocker in Hindi 2022?
Jab Se Digital India Ko Banane Ki Suruvat Hui Hai Tab Se Har Chij Ko Digital Bana Diya Gaya Hai, Chahe Wo UPI Ke Through Money Transfer Ho Ya Phir Online Aapka Documents Verification Ho Etc.
Abhi Kuch Hi Time Pahle Government Ki Digilocker App Ko Developed Kiya Hai, Jiske Through Hum Apne Data, Files Ya Kuch Bhi Important Documents (Jaise Aadhar card, PAN Card, Voter Card, Driving License, Birth Certificate Etc) Ki Soft Copy Ko Digilocker Me Online Store Karke Rakh Sakte Hai. Kaha Jaye To Digilocker Indian Government Ki Ek Digital Locker Seva Hai, Jo Hame Apne Documents Ko Secure Karne Ki Facility Provide Karti Hai.
Digilocker Me New Account Kaise Banaye? How to Create digilocker account in Hindi
Digilocker Me Account Banane Ke (2 Methods) Hai. Pahla Ki Aap Digilocker Ki Official Website Par jakar Account Bana Sakte Hai Aur Dusara Aap Digilocker App Ki Help Se New Account Aasani Se Create Kar Sakte Hai.
Dakha Jae Toh Ab Smartphone Ka Hi Trand Chal Raha Hai Log Aaj Kal Sochte Hai Ki Sabhi Work Woh Smartphone Se Hi kar Le Aur Google Bhi Mobile Friendly Websites Ko Jada Like Karta Hai, Toh Mai Aapko Mobile Se Digilocker Me Account Kaise Banaye Wo Tarika Batane Wala Hu To Aaiye Jante Hai.
Mobile Se Digilocker Me Account Kaise Banaye?
Mobile Se Digilocker Me New Account Create Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Kare.
STEP:-1 Sabse Pahle Play Store Me Jakar, Digilocker App Ko Download kare Aur App Ko Open kare.Digilocke App Ko Download Kare Click It:-Digilocker App Download
STEP:-2 Ab Digilocker Me Aapko Sign Up Karna Hoga, Means Account Create Karna Hoga. Ab Aap Sign Up Par Simply Click Kare
STEP:-3 Ab Aapko Apna Mobile Number Fill karna Hoga. Number Fill karne ke Bad Continue Par Click kare.
STEP:-4 Ab Aapke Mobile Number Par Ek OTP Message Aaye Hoga Us OTP Message Ko Fill Karke, Verify Par Click kare.
STEP:-5 Ab Aap Apni Marji Ka Koi User Name Fill Kare, Aur Ek Strong Password Fill karke Sign Up Par Click kare.
STEP:-6 Aapka Digilocker Account Successfully Create Ho Gaya Hai. Ab Aap Digilocker Ke Dashboard Ko Open Kare.
Digilocker Me Apna Aadhar Number Kaise Link Kare?
Jaisa Ki Aap janate Hai Ki Har Chij Me aaj Kal Aapko Aadhar Se Link Karni Hoti Hai, Toh Usi Tarah Aapko Apne Digilocker Account Ko Aadhar Se Link karna Hoga.Aaiye Jante Hai Kaise Aadhar No Ko Link kare?
- Aadhar Card Ko Digilocker Se Link Karne Ke Liye, Niche Screenshot Me Link Your Aadhar Now Ke Option Me Jakar Click Kare.
- Ab Aap Apna Aadhar Number Yaha Fill Kare, Aur Check Box Par Tick, Karke Continue Ke Button Par Click Kare.
- Ab Aapke Aadhar Card Se Link Mobile Number Par Ek OTP Message Aaya Hoga, Us OTP Ko Fill Karke Continue Ke Button Par Click Kare.
- Digilocker Me Aapka Aadhar Card Successfully Link Ho Chuka Hai. Jaisa Ki Aap Screenshort Me Dakh Sakte Hai.
Digilocker Me Apne Doucuments Ko Kaise Upload kare?
Digilocker Me Apne Important Documnets, Files Ko Upload karne Ke Liye Sabse Pahle Us Documents Ko PDF Ya Word Kisi Bhi File Me Convert Kar Le Aur Ye Dakhe Ki File Ki Size Jada Badi Na Ho, Kyuki Digilocker Me Hame 1 GB Tak Ki Free Storage Data Files Ko Save karne Ke Liye Provide Ki Jati Hai.
- Sabse Pahle Aap Digilocker App Ke Dashboard Me Jaye Aur Upload Documents Ke Option Par Click Kare.
- Upload Document Par Click Karte Hi Aapko (2 Folders) Pahle Se Hi Create Kiye Hue Milege. Documents & My Certificates. Aap In Pahle Se Create Kiye Hue Folder Me Apna Documents Ko Upload Kar Sakte Hai, Ya Phir Apni Marji Ka Koi folder Create Kar Sakte Hai.
- Documents Ko Upload Karne Ke Liye Simply Document Folder Par Click Kare.
- Firehall Mujhe Marksheet Upload Karni Hai, Toh Upar Diye Gaye Upload Ke Button Par Tab Kare Aur Jo Bhi Files Aapko Upload Karni Hai Usko Liye Content from Other Apps Par Click Karke Apne Phone Se File Ko Select Kare Aur Select Karte Hi Aapki Wo File Upload Ho Jaegi.
Toh Is Tarah Se Aap Digilocker Me Apne Sare important Files, Documents Ko Aasani Se Upload kar Sakte hai, Aur Kahi Se Bhi Kabhi Bhi Apne Data Ko Online Dakh Sakte Hai, Download kar Sakte Hai.Bus Aapko Ek Kaam karna Hai, Apne Digilocker ka User Id Aur Password Ko yad Rakhna Hai, Agar Aapke Pas User Id Aur Password Nahi Hoga To Aap Login Nahi kar Paege.
Read It:-
PC/Laptop Se Digilocker Me Account Kaise Banaye?
PC ya Laptop Se Digilocker Me Account Create Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Kare. Aaiye Jante Hai.
STEP:1- Sabse Pahle Aapko Digilocker Ki Official Website https://digilocker.gov.in/ Par Jaye.
STEP:2- Digilocker Ki Website par Sign Up Ke Option Par Click Kare. Sign Up Par Click Kare Aur Apna Mobile Number Fill Kare Aur Continue Par Click Kare.
STEP:3- Continue Par Click Karne Ke Baad Aapke Number par Ek OTP Aaya Hoga Us OTP Ko Fill Kare Aur Verify ke Option par click kare.
STEP:4- Ab Aapko User Name Aur Password Choose Karna Hoga, Aap Apni Marji Ka Koi Bhi User Name Aur password Create kar sakte Hai. Username Aur password Fill karne Ke Bad Signup Ke Button Par Click Kare.
STEP:5- Ab Aapko Aapka Aadhar Number Fill karna Hoga.Aadhar No Fill karke Check Box Par Tick Karke Submit Par Click Kare.
STEP:6- Submit Par Click Karte Hi Aapke Aadhar No Se Link Mobile Number Par Ek OTP Aaega, Aapko OTP Fill karke Verify Ke Option Par Click karna Hoga.
STEP:7- Ab Aapko Digilocker Ki Taraf Se Ek Message Show Hoga Ki Welcome To Digilocker, Aapka Account Successfully Create Ho Chuka Hai.
STEP:8-Ab Aapke Samne Digilocker ka Dashboard Open Ho jaega.
Ab Aapne PC/Laptop Se Bhi Digilocker Me Account Create Karna Seekh Liya Hai, Aapko Jo Bhi Methods Best Lage Mobile Se Ya Phir PC/Laptop Se Aap Apne Manchahe Method Se Digilocker Me Account Aasani Se Create Kar Sakte Hai, Aur Apne Documents ko Upload Karke Unko Save Kar Sakte Hai.
Digilocker Ke Kya-2 Fayade Hai?
Digilocker Use karne Ke Kya-2 fayade Hai Aaiye Ek-2 Karke Discuss Karte hai, Just Read It.
(1):-Digilocker Ki Help Se Aap Apne Doucments ko Aasani Se Upload karke Usko Save Kar Sakte Hai, Aur jarurat Padne par Usko kahi Se Bhi, Kabhi Bhi, Kisi Bhi Laptop/Pc ya Mobile Se Access kar Sakte Hai.
(2):-Aap Digilocker Ki Help Se apne Files, Documents Ko Aasani Se Download Kar Sakte hai, Aur Aapko Ye Chinta Karne Ki jaruart nahi Ki Aapke pas Documents ki Hard Copy Nahi Hai, To Aapka kam Nahi Hoga, Aap Digilocker Se Documents Ko Kahi Bhi Download Karke Apna kaam Kar Sakte Hai.
(3):-Digilocker Ek Wallet Ki Tarah Hi Hai, Jis me Aap Apna Driving License, Voter Id card, ID Proof, Pan card Etc ko Aasani Se Rakh Sakte hai, Aur kabhi Bhi Kisi Ki Jagah Is Document Ka Use kar Sakte Hai.
(4):-Sabse Achi baat Yeh hai Ki Digilocker Me Aapke Documents Ko Koi Effect Nahi padta Means wo Kharab Nahi Hote, jaise hard Copy Suppose aap Apne pas rakhte Hai Toh Uske page Kuch Dino ke Baad Kharab Ho jate hai, Sentence Dhudala pad jata hai But Digilocker me Aap Apne Documents Ko Ek Bar Upload Kar Diya Toh Wo bilkul Usi tarah Rahege Ye Sabse Acha fayada Hai.
(5):-Jab Se Digital India Ki Pahal Hui hai har Government Sector Me Digilocker Ki Upyogita Badh gayi hai, Digilocker har Government Sector Me Maanay Hai Kyuki Digilocker Central Government ki Yogana hai To Koi Bhi Sector Ise manane Se inkar Nahi katr sakta hai. jaisa ki Modi ji Ne Digital India Ki Suruvaat Ki Hui Hai Toh unhone Ye Bola hai Ki Kisi Bhi Sector Me Aapko Hard Copy Dene Ki Utni jarurat Nahi, Aap Soft Copy Se Bhi Us work ko Complete Kar Sakte hai, Is pahal Se Public ko Kafi Aasani Hui hai.
Digilocker Kitna Safe Hai??
Aapke Mind Me yeh jarur Se Aaya Hoga Ki Digilocker Kitna Safe hai, Kya Digilocker Me Apne Documents Ko Upload Karna Thik Rahega, Kahi Digilocker Se Mere documents Ko Koi Aur na Use Kar Le. Security Point of View Se Ye Sare Sawal Aapke Mind Me Aaye jarur Hoge. To Aaiye Mai In Sawalo Ke jawab Aapko Deta Hu.
(1):-Jaisa Ki Aap jante hai Ki Digilocker Me Aapko Ek User ID Aur Strong Password Create Karna Hota hai, Aur Aap Jante Hi Hai Ki Digilocker Ko Aadhar Card Se Link karna Hota Hai, Jiske Liye Aapke Registered Mobile Number Par Ek OTP Message Show Hota Hai.
(2):-Agar Aap Digilocker Me Apna Use ID Aur Password kabhi Bhul jate hai Toh aap Aadhar Number Se Apne Digilocker Ko Validate karke usko Open kar Sakte Hai, Digilocker Ko Open Karne Ke Liye Bhi Ek OTP Message aapke Mobile par Send Kiya Jata hai, Jab Aap Us Message ko Dalkar validate karte hai To Aapka Account Open hota hai.
(3):-Kafi High Security Provide Ki Hui hai Digilocker Me Jaisa Ki Aapko Aapke Bank Me Milti hai, Jab Bhi Online Koi Transaction Karte Hai Aap To. So Mai Ye Aasani Se Aapko kah Sakta Hu Ki aap Apne Sare Important Documents Ko Digilocker Me Store karke rakh Sakte hai.
About The Post:-
Aaj Ki Is Post Me Maine Aapko Bataya Ki Digilocker Kya Hai? Digilocker Me New Account Kaise Banaye? Digilocker Me Apne Documents Ko Kaise Save Kare? Digilocker Ke Kya-2 Fayade Hai Aur Digilocker Kitna Safe Hai.
Digilocker Ki Help Se Hum Kis Tarah Apne Data Ko Online Store Karke Rakh Sakte Hai. Agar Aapko Digilocker App Se Related Koi Bhi Problem Ho To Aap Mujhe Contact Kar Sakte Hai.
Nice post