Axis Bank Balance Account open : Kya Aap Aaj Bhi Apna Account Open Karvane Ke Liye Bank Me Jakar Form Fillup Karke, Ye Wait Karte Hai Ki Bank Ek Confirmation Later Aapke Address Par Bhejega Toh Aap Jakar Bank Me Apni Passbook Aur Account Number Le Sakege, Agar Aap Aaj Bhi Aisa Karte Hai Toh Aaj Ki Ye Post Aapke Liye Bahut Hi Important Hain.Kyuki Aaj Mai Aapko Axis Bank Me Zero Balance Account Kaise Khole. Iski Puri Jankari Duga.
Aaj Badhti Hui Technology Ne Hamare Sare Kaam Ko Online Kar Diya Hai, Aaj Aap Bahut Sare Kaam Online Hi Kar Sakte Hai. Aaj Mai Aapko Ye Batauga Ki Aap Apne Ghar Baithe Mobile Se Online Account Kaise Open Kar Sakte Hai, Account Ko Open Karne Ke Liye Aapko Bank Me Jane Ki Koi Jarurat Nahi Hai. Bus Aap Apne Smartphone Se Hi Jis Bhi Bank Me Aapko Account Kholna Hai Us Bank Ki Website Par Ya Phir Us Bank Ki Application Se Online Account Ko Khol Sakte Hai.
Aaj Bahut Sari Bank Hamko Online Account Open karne Ki Facility Provide Ki Hui Hai Like- Axis Bank, HDFC Bank, Kotak Mahindra Bank, Digibank By DBS Bank Etc Etc.
Axis Bank Service Of Axis Bank 2024 पूरी जानकारी जाने
Axis Bank Ki Service Dakha Jaye Toh Other Bank Ki Service Se Kafi Jada Achi Aur Fast Hai. Axis Bank Me Hum Apna Saving Account, Salary Account, Current Account Ko Aasani Se Ghar Baithe Apne Smartphone Se Khol Sakte Hai, Bus Account Ko Open Karne Ki Liye Aapko Apni Kuch Details Ko Fill Karna Hoga, Aur Aapka Account Axis Bank Me Aasani Se Open Ho Jaega.
Axis Bank Me Aap Internet Banking Aur Debit/Credit Card Ko Bhi Online Le Sakte Hai, Aur Agar Aapko Apna Account Open Karne Me Koi Bhi Problem Aati Hai, Toh Aap Axis Bank Ke Customer Care Ko Call Karke Account Opening Se Related Sabhi Jankari ko Le Sakte Hai.
Axis Bank Hame Mobile Banking Bhi Provide Karta Hai, Jiske Jariye Hum Apne Account Ko Apne Phone Se Hi Operate Kar Sakte Hai. Axis Bank Ke Jariye Aap Cash Transfer, Mobile Recharge, Electricity Bill Payment, Online Shopping Etc Aasani Se Online Kar Sakte Hai.
About The Axis Bank:-
ऐक्सिस बैंक (Axis bank) (पुराना नाम यूटीआई बैंक) भारत का एक प्रमुख निजी क्षेत्र का बैंक है। स्थापना के समय इस बैंक का नाम यूटीआई बैंक था जिसे बाद में बदलकर ऐक्सिस बैंक कर दिया गया।
Axis Bank India Ka Third Largest private-Sector Bank Hai, Axis Bank Ka Head Office Mumbai Me Aur Registered Office Ahmedabad, Me Hai. Axis Bank Ki Current President Shikha Sharma Ji Hai.
Axis Bank Me Account Open Karne Ke Liye Required Documents:-
Axix ASAP Me Zero Balance Account Open Karne Ke Liye Aapko Kuch Required Documents Ki Jarurt Hogi, In Documents Ke Bina Aap Apna Account Ko Open Nahi Kar Sakege. To Aaiye Jante Hai.
1. Pan Card
2. Aadhaar Card
3. Mobile Number Link With Aadhaar ( Aapka Mobile Number Aadhar Card Se Link Hona Chahiye)
4. Age (18 se 70) Ke Bich Honi Chahiye.
5. Jo Bhi Person Apna Axis Bank Me Account Open kar raha hai wo Person India Ka Hi Hona Chahiye.
6. Aapke Aadhaar Card ke sath jo Bhi Mobile Number Register Hai, Woh Sim Card Aapke Mobile Me laga Hona Chahiye Kyuki Usi Mobile Number Par Axis Bank Ki Taraf Se Ek OTP Message Aaega Verification Process Ke Liye Aur Aapko Us OTP Message Ko Fill karna Hoga Tabhi Aap Apna Account Open Kar Paege.
Account Open Karne Ke Liye Aapke Pas Ye Document Hone jaruri hai, Tabhi Aap Apna Account Ko Online Open Kar Sakte Hai. Suppose Aapke Pas ye Documents Nahi Hai Toh Aap Apna Account ko Open Nahi Kar Sakege.
Axis Bank Hame Bahut Sare Account Open Karne Ki Facility Provide Karta hai, Saving Account, Current Account, Salary Account, ASAP Instant Saving Account Etc. Firhall Mai Aapko Aaj ASAP Instant Saving Account Open Karnee Ki Sari Jankari Provide Karuga.
Axis Bank Me ASAP Instant Saving Account Open Karne Ke kai Sare Benefits Aapko Milte Hai Joh Ki Others bank me Shayad Hi Mile.
Axis Bank Me ASAP Saving Account Open Karne Ke Benefits:-
Axis Bank Me ASAP Instant Saving Account Ko Open Karne Ke Kafi Sare Benefits Hai, Aaiye jante Hai.
1:- Instant Saving Account ASAP Ki Help Se Aap Zero Balance Me Apna Account Ko Open Kar Sakte Hai, Means Aapko Account Me Minimum Balance Ki Koi Jarurat Nahi Hai, Aap Agar Apne Account Me Kam Paise Bhi Rakhege Toh Bhi bank Aapse Koi Charge Nahi Lega.
2:- Axis Bank Me Aapko Account Jab Bhi Open Karte Hai, Toh Aapko Ek Virtual Debit Card Milta Hai, Aap Is Virtual Debit Card Ki Help Se Online Kahi Bhi Use Kar Sakte Hai. Like- Online Shopping Kar Sakte Hai, Train Hotel Ticket Book Kar Sakte Hai, Electricity Bill pay Kar Sakte Hai, Online Recharge Kar Sakte Hai Etc Etc.
3:- Axis Bank Me Online Account Open karte hi Aapko Aapka Account Number Turant Mil jata Hai.
4:- Aap Axis Bank Ke Credit Card Se Aasani Se Loan Ke Liye Apply Kar Sakte Hai.
5:- Agar Aap Apne Axis Bank Ke Account Me 10000 Se maximum Balance Rakhte Hai, Toh Aapko Bank Kafi Acha Interest Deti Hai.
6:- Aap Mobile Se Hi Online Apne Ghar Baithe RD And FD Account Ko Open Kar Sakte Hai, Axis Bank hame Ye Facility Bhi provide karta Hai.
Axis Bank Me Account Kaise Open Kare Step by Step All Process 2022:-
Axis Bank Me Account Open Karne Ke (2 Methods) Hai. Pahla Ki Aap Axis Bank ki Official Website Se jakr Apna Account Khol Sakte Hai, Aur Dusara Aap Axis Bank Ki Application Axis Asap ke jariye Apne Account Ko Aasani Se Khol Sakte Hai. To Aaiye Ek-2 Karke In Methods ko Discuss kare.
Method:- 1 Mobile Se Axis Bank Me Account Kaise Khole?
Mobile Se Axis Bank Me Account Open Karne Ke Liye Hum Axis Bank Ki Application Axis Mobile-Fund Transfer, UPI Recharge Naam Ki App ka Use Karege. Axis Bank Me Account Kholne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Kare.
STEP:1- Sabse Pahle Paly Store Me Jakar Axis Mobile-Fund Transfer, UPI Recharge Naam Ki App ko Install kare Aur Isko Open Kare. Download App Now
STEP:2- Install karne Ke Baad Aapko Axis Bank Ki App Ko Open Kare Aur Continue Ke Option Par Click Kare.
STEP:3- Ab Aapke Samne Axis Bank Ka Page Open Hoga. Axis Bank Me New Account Kholne Ke Liye Niche Side Me Apply Now Ke Option Par Click Kare.
STEP:4- Axis Bank Me Saving Account Ko Open Karne Ke Liye Aapko ASAP Saving Account Par Jakar Click Kare.
STEP:5- Axis Bank Me Account Open Karne Ke Liye Aapko Apni Details ko fillup karna Hoga, Aaiye Jante Hai Ki Kya Details Ko Fillup Karna Hai.
- Mobile Number:- Aapko Apna Mobile Number Fillup Karna Hai.
- Aadhar:- Aapko Apna Aadhar Card ka Number Fillup Karna Hai.
- PAN:- Aapka Apna PAN Card Number Ko Fillup Karna Hai.
Sari Details Ko Fillup Karne Ke Baad Axis Bank Ki Terms And Condition Ko Agree karna Hai Jiske Liye I Agree Ke Option Par Tick Karke Next Ke Option Par Click Karna Hai.
STEP:6- Ab Aapke Samne Thanks Getting Your Aadhar info Ka Ek Message Show Hoga Aur Aapke Mobile Number Par Ek OTP Message Aaega, Us OTP Message Ko Aapko Fillup Karke Next Ke Option Par Click Karege.
STEP:7- Jaise Hi Aap Apne Aadhar number Ko Fillup Karke Next karege, Axis Bank Aapke Aadhar Card Number Se Aapki Sari Details Ko Fetch kar Lega. Ab Aapko Yaha Apni Kuch Details Ko Fillup karna Hai.
Details Ko Fillup Karne Ke Liye Kuch Steps Ko Follow Kare.
- Residential Address Type : Isme aapko Yeh Select Karna Hai Ki Aap kiske Ghar Me Rahete Hai.Agar Aapka khud ka Personal Ghar Hai Toh Owned, Aur Agar Rented Ka Matlab Hai Ki Aap Kiraye Par Rahete Ho,Aur Agar Kisi Compnay Ne Ghar Diya Hai Toh Company Provided Option Ko Select Kare.
- Search Using Pin Code:- Yaha Aap Pin Code Fill Karke Apni City Ko Select Kar Sakte Hai.
- Enter The Details Below:- Yaha Aapko Apna State Fill Karna Hai, Ki Aap Kis Stata Me Rahate Hai.
- City : Aapko Apni City ka Naam Select Karna Hai,I means Aap jis Bhi City Me Apna A/c Open Karna Chahte Hai, Usko Select karna Hai.
- Branch : Aapko jis Branch Me Apna Account Open Karna Hai Us Branch Ko Select Kare.
- Single / Married : Aap Single Hai Ki Aapki Married Woh Select karna Hai
- Email Address : Aapko Apna Email Address Ko Fillup Karna Hai.
- Father’s Name : Apne Father Ka Naam Enter Kare.
- Mother’s Maiden Name : Apni Mother Ka Pura Naam Fillup Kare.
- Occupation: Occupation Me Aapko Select Karne Hai Ki Aap Kya Work Karte Hai.
- Annual Income NRI : Aap Annual means 1 Year Me kitna Paisa Kama lete Hai Usko Select Kare.
- Enter Nominee : Agar Aap Nominee Name Enter Karna Chahte Hai Toh Now Par Click Kare Sari Details Ko Fillup kar De Ki aap Kisko Nominee Banana Chahte Hai,Aur Agar Nominee Details Ko Baad Me Fillup Karna hai Toh Later Ke Option Par Press Karke Baad Me Nominee Details Ko Fill kar Sakte Hai.
Sari Details Ko Fillup karne Ke Baad Simply Next Ke Option Par Click Kare.
STEP:8- Ab Aapko Tax Resident Status Me I Am An Indian Citizen and A Taxpayer Only In India Me Check Karke Next Ke Option Par Click Karna Hai.
STEP:9- Aab Aapko Apni Details Ko Review Karna Hai, Aur Review Karne Ke Baad Next ke Option Par Simply Click Kare.
STEP:10- Ab Aapke Number Par OTP Message Aaya Hoga, Aapko Us OTP Message Ko Fillup karke Next Ke Option Par Click Karna Hai
STEP:11- Yaha Par Aapko Apne Virtual Debit Card Ke Name Show Hoga Aur Aapko Apne Virtual Debit Card Ke Liye Pin Generate karna Hoga, Apni Marji ka 4 Digit ka Pin Create Karke Check Box Par Click Karke Simply Active My Account Ke Option Par Click Kare.
STEP:12- Congratulations Aapka ASAP Account Open Ho Chuka Hai. Aapko Yaha Aapka Account Numbet, IFSC Code Aur Aapko Aapka Virtual Debit Card Ka Name, Number Validity Wagara Sab Show Hoga. Aab Ap Chahe To Apne Axis Bank Account Me Money Add kar Sakte Hai.
STEP:-13 Ab Aapke Mobile Par Account Open Hone Ka Message Bhi Aa Gaya Hoga.
Axis ASAP Account Me Login Kaise Kare?
Axis Bank Me New Account Open karne Ke Baad Aapko Apne Axis ASAP Account Me Login karna Hoga, Login karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow kare.
STEP:1- Sabse Pahle Aapko AXIS Bank Ki App Me Jakar Login Ke Option Par Click Karna Hoga.
STEP:2- Yaha Aapko Apna Sim Card Select Karna Hai, Jis Sim Card Se Aapne Axis Bank Me Account Open Karte Waqt Jo Number Fill Kiya Tha, Wo Sim Select Kare Kyuki Bank Aapse Verification Karta Hai, Ki Aap Hi Wo User Hai Ya Nahi.
Sim Select Karne Ke Baad Simply Continue Ke Option Par Click Kare.
STEP:3- Ab Aapko Yaha Apna Naam Fillup Karna Hai, Naam Fillup karne Ke Baad Terms And Condition Par Check Karke Continue Ke Option Par Simply Click Kare.
STEP:4- Ab Aapko Apni Marji Ke According Ek 6 Digit Ka Mpin Create Karna Hai, Apni Marji Ka Mpin Fillup Kare
STEP:5- Agar Aap UPI Id Create Karna Chahate Hai, Toh Create UPI ID Ke Option Me Jakar Create Kar Sakte Hai, Warna Aap Skip Karke Aage Badh Sakte Hai.
STEP:6- Ab Aap Apne Axis Bank Ke Dashboard Me Successfully Login Ho Chuke Hai. Yaha Aapko Aapke Account Se Related Sari Jankari Mil Jaegi. Aap Yaha Dashboard Se Apne Account Ko Aasani Se Manage Kar Sakte Hai. Yaha Aapko Accounts, Credit Cards, FD/RD, Loans, UPI, Grabs Deals, Mutual Funds, Demat, Forex Cards Jaise Kafi Options milte Hai.
STEP:7 Axis Bank Me Account Open Ho Jane Ke Baad Agr Aap Axis Bank Ki App Ko Open Karte Hai To Aapko Apna Mpin 6 Digit ka Dalna Hoga Jo Ki Account Create Karte Waqt Aapne Create Kiya Tha.
Aap Is Tarah Apne Mobile Se Hi Axis Bank Me Online Account Khol Sakte Hai, I Hope ki Ab Aap Aasani Se Apna Account Ko Open Kar Sakte Hai.
Method:- 2 Axis Bank Ki Website Se Account Kaise Khole? पूरी जानकारी जाने?
Aap Agar Mobile Se Account Nahi Open Karna Chahte Hai Toh Aap Axis Bank Ki Official Website Par Jakr Bhi Axis Bank Me Apna Account Ko Yehi Simple Process Karke Apna ASAP Saving Account Khol Sakte Hai.
Axis Bank Me ASAP Saving Account ko Open Karne Ke Liye Aapko 3 Simple Steps Ko Follow Karne Padege Jaisa maine Upar Bataya Ki Aapko Apna Aadhar Card, Pan Card Aur Mobile Number Aur Apni Detail Wagra Ko Fill Karke Aap Axis Bank Ki Website Se Apna Account Khol Sakte Hai. Jaise Step Maine Mobile Se Aapko Bataya Hai Aisa Hi Steps Aapko Website Me Bhi Follow Karne Padege Aur Aap Apna Axis Bank Ka ASAP Saving Account Ko Aasani Se Open Kar Paege.
Axis Bank Me ASAP Saving Account Open Karne Ke Liye Is Link Par Simply Click Kare.Axis Bank Account Open
Axis Bank ASAP Account Charges & Fees:-
Axis Bank ASAP Accounts Ke Charges & Fees Kuch Is Tarah Se hai, Aap Isko Read Kare.
1. Aap Axis Bank Ke Account Me (1 Lakh) Tak Ka Hi Amount Rakh Sakte Hai, Agar Aapko1 Lakh Rupee Se Jada Paise Rakhne Hai Toh Aap Axis Bank Ki Branch Me Jakae EKYC Karwani Hogi, Uske Baad Aapka Account Ki Sari Limit Hat Jaegi Aur Aapka Account fully Activate Ho Jayega Uske Baad Aap Kitna Bhi Amount Apne Account Me Rakh Sakte Hai.
2. Aapko Visa Debit Card Use Karne Ka Yearly (300 Rs) Charge Dene Padega.
3. Aapka Axis Bank Account Free Me Band Nahi Hoga Aapko (500 Rs) Charge Lag Sakta Hai.
4. Bank Me Cash Deposit Karne Ka Charge Lagega, Aap (1000 Rs) Deposit Karne Me (5 rs) Ka Charge Lagega.
5. Bank Se RTGS (2-3) Lakh Karne Ka (25 Rs) Charge Lagega Or 5 Lakh Karne Par (50rs) Ka Charge Lagega. Agar Aap Axis Bank Ki App Se IMPS Or RTGS Karege To Koi Charge Nahi Lagega.
6. Aapko Axis Bank ASAP Saving Account Me Cheque Book Nahi Milegi.
7. Small Cities Me ATM Me (5 Transaction) free Hai Or Metro Me (3 Transaction), Aap ATM Se Balance Check karege Toh Jo Slip Bahar Aayegi Usko Bhi Ek Transaction Mana jaega.
8. Axis bank Account Me SMS Alert Service Ka Monthly (5 Rs) Charge Lagega.
9. Axis Bank Ka Card Replacement Karwane Ka Aapko 200rs Charge Dena Padega.
10. Axis Bank Account Me Apna ATM Pin Bhul Jane Par, Branch Se Agar Aap Again Issue Karwaoge To (100 Rs) Charge Lagega.
11. Agar Aap Apne Axis Bank Account Se Railway Ticket Book Karte Hai Ya Phir Petrol Pump Sa Petrol Dalwate Hai Toh Aapko (10 rs) ka Charge Lag Sakta Hai.
12. Agar Aap Other Bank Ke ATM Se Paise Nekalte Hai Toh (5 Rs) Ka Transaction Charge Lagega Uske Baad Aapko Per Transaction Charge (20 rs) Dena Hoga.
Online Account Open Karne Ke Fayade:-
Aap Suppose Kisi Alag City Me Rahte Ho Aise Me Agar Aapko Bank Account Open Karna Ho Toh Aapke pas address Proof Bank Aapse Magati Hai But Ab Aap Apna Account Online Ghar Baithe Open Kar Sakte Hai Bus Kuch Hi Minuts Me.
Aaj Kal Har Ek Bank Online Account Open Karne Ki Facility Provide Karti Hai, Uske Liye Aapke Pas Aapka Aadhar Card, PAN Card Aur Ek Mobile Number Hona Chahiye Bus In Documents Ki Help Se Aap Apna Account Online Bahut hi Aasani Se Open Kar SakteHaii.
Aap Online Account Open Karne Ke Sath-2 ATM Card, Internet Banking Aur Checkbook Ke Liye Bhi Online Request Kar Sakte Hai.
Toh Aaj Maine Ye Discuss Kiya Ki Aap Axis Bank Me Apna Account Kis Tarah Se Khol Sakte Hai. I Hope Ki Ab Aap In Steps Ko Follow Karke Apna Account online Open Kar Sakege.
Some Important Link:-
- Aadhik Janakri Ke Liye Axis Bank Ki Official Site Ko Visit Kare Click It:- Axis Bank
- Axis Bank Me Contact Us Par Aapko Axis Bank Se Related Sabhi Jankari Mil Jaegi Click it:-Contact us Axis bank
Axis Bank Helpline Number:-
Axis Bank Customer Care for all types of inquiries. Check 24×7 (all days) helpline number is 1860 419 5555
पोस्ट से संबन्धित सारांश:-
आज के इस पोस्ट मे मैंने आपको बताया कि Axis Bank मे Zero Balance Account कैसे खोले 2022? How to Open Axis Bank Account in Hindi 2022 आइये जाने
Axis Bank Me Account Kaise Khole से सम्बंधित अगर आपको कोई भी Problem हो तो आप मुझे मेल कर सकते है। मैं जल्दी ही आपकी परेशानी को दूर करने की पूरी कोशिश करुगा।
मैं उम्मीद करता हु की ये आर्टिक्ल आपको पसंद आया होगा, अगर आपको ये आर्टिक्ल पसंद आया तो इसको सोश्ल मीडिया पर अपने दोस्तो के साथ जरूर से शेयर कीजिए, जिस से उनको भी ये जानकारी प्राप्त हो सके।
Awesome Information
Keep bloging
Thanks bro
nice & useful information….thanks