Receipt Entry in Tally in Hindi 2023: Aaj Ke Is Post Me Mai Aapko Ye Batane Wala Hu Ki Aap Tally Me Receipt Voucher Me Kis Tarah Entry kar Sakte Hai. Jab Bhi Hamare Business Me Kahi Se Bhi koi Paisa Aata Hai Chahe Wo Cash Me Aaye Ya Phir Bank Se Ya Phir Kisi Ne Online Money Transfer Kiya Ho, Aise Transactions Ki Entry Ko Hum Receipt Voucher Me Karte Hai.Aaj Mai Receipt Voucher Me Entry Kaise Kare,Tally Me Receipt Entry Kaise Kare पूरी जानकारी जाने? Iske Bare Me Puri Jankari Aapko Duga, Toh Aaiye Jante Hai.
Tally Me Receipt Entry कैसे करे? Receipt Entry in Tally in Hindi 2023
Receipt Ka Matlab Hota Hai, Paisa Aana Business Me. Jab Bhi Hamare Business Me Paisa Kahi Se Aata Hai, Means Amount Receipt Jab Hota Hai, To Uski Entry Hum Receipt Voucher Me Karte Hai. Example:- Interest Receipt Kar Rahe Ho To Receipt Voucher ka Use Karte Hai.
- Tally Me Contra Entry Kaise Kare?
- Tally Me Payment Ki Entry Kaise Kare
- Tally Me Purchase Entry Kaise Kare?
Note:-
Aksar Hamko Ye Confusion Create Hota Hai Ki Kis Voucher Me Entry Kare?? To Aaiye Kuch Points Aapse Discuss Karte Hai ki Ki Kis Voucher Me Entry Post Kare?
- Jab Bhi Paisa Aayega Toh Simply Aapko Receipt Voucher Me Entry Karni Hai.
- Jab Bhi Paisa jaege, Means Aap Kisi Ko Payment Karege Toh Uski Entry Payment Voucher Me Karege.
- Jaha Par (Cash/Bank) Aa Jaye Toh Uski Entry Hum Contra Voucher Me Karege.
Tally Me Receipt Voucher Me Entry Kaise Kare?
Tally Me Receipt Voucher Me Entry Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Karna Padega To Aaiye Jante Hai.
STEP:1- Sabse Pahle Aap Gateway Of Tally Me Accounting Voucher Me Aakar Click Kare.
STEP:2 Accounting Voucher Me Click Karne Ke Baad Aapko Receipt Voucher Open Karna Hai, Receipt Voucher Open Karne Ke Liye Right Side Me Receipt (F6) Dikhai Dega Usi par Click Karna Hai.
Ya Toh Simply Apne Keyboard Me (F6) Button Ko Press Kar Dena Hai, Receipt Voucher Open Ho Jaega. Receipt Voucher Kuch Is Tarah Show Hoga .Read More Articles:-Indeed App से Tally job कैसे search करे? आइये जाने।
Tally Me Receipt Ki Sari Entry Karne Ke Liye Hum Receipt Voucher Ka Use Karte Hai.
Receipt Voucher Me Entry Karne Ke Liye Tally Me 2 Mode, Available Hai.
- Single Entry Mode
- Dual Entry Mode
Aaiye Jante Hai, Ki Single Aur Dual Entry Mode Kya Hai
Single Entry Mode Ko Kaise Active kare?
Single Entry Mode Ko Tally Me Active Karne Ke Liye Aapko Receipt Voucher Open Karna Hai Aur Niche Right Side Me Configuration(F12) Par Click Karna Hai, Ya Toh Aap Apne Keyboard Se F12 Button Press Kare
Uske Baad Ek Menu Open Hogi Jaha Aapko Use Single Entry Mode for payment/contra/receipt vouchers? Show Hoga Aapko Is Option Ko Yes Karke Save Kar Lena Hai.
(1)-Single Entry Mode:- Tally Me Single Entry Mode Woh Hota Hai, Jaha Aapko Dr, Cr Ki Jarurat Nahi Padti Hai, Ki Kise Debit Kare Aur Kise Credit. Single Entry Mode Me Aapko Bus Account Me Bank Account Ko Select Karna Hai Aur Niche Particular Me Jis Party Se Payment Received Kar Rahe Hai Uska Ledger Select Karke Entry Ko Pass Karva Kar Save Kar, Lena Hai.
Single Entry Mode Me Entry Aise Kare.
Single Entry Mode Me Entry Karne Ke Liye Aapko Sabse Pahle Account Ka Option Dikhai Dega. Account Me Apko Apna Bank Select Karna Hai Phir Niche Aae Particulars Me Yaha Par Aapko Jis Bhi (Party, Cash, Online Transaction Ya Kisi Person) Se Payment Received Hui Hai
Uska Ledger Select Kare Aur Jitni Bhi Payment Aai Hai Woh Amount Fill Karke Simple Entry Ko Post Kar Sakte Hai.
Single Entry Mode Me Entry Karna Kafi Easy Hota Hai, Kyuki Is Me Hamko Debit Aur Credit Me Confusion Nahi Hoti Hai.
Dual Entry Mode Ko Kaise Active Kare?
Dual Entry Mode Ko Tally Me Active Karne Ke Liye Aapko Receipt Voucher Open Karna Hai Aur Niche Right Side Me Configuration(F12) Par Click Karna Hai, Ya Toh Aap Apne Keyboard Se F12 Button Press Kare
Uske Baad Ek Menu Open Hogi Jaha Aapko Use Cr/Dr instead Of To/By during entry Is Option Ko Yes Karke Save Kar Lena Hai. Read More Articles:-Tally Course करने के क्या फायदे है? Benefit of Tally in Hindi
(2)-Dual Entry Mode:- Tally Me Dual Entry Mode Woh Hota Hai, Jaha Aap Dr, Cr Ki Help Se Tally Me Entry Karte Hai. Dual Entry Mode Me Hum Kis Account Ko Debit Karna hai Aur Kise Credit Karna Hai Uske According Entry Post Karte Hai.
Dual Entry Mode Me Aapko (To/By) Me Bhi Entry Karne Ka Option Milta Hai. Aap Jis Bhi Mode Me Chahe Entry Ko Aasani Se Tally Me Post Kar Sakte Hai.
Dual Entry Mode Me Entry Aise Kare.
Dual Entry Mode Me Entry Karne Ke Liye Aapko Ye Pata Hona Chahiye Ki Kis Party Ko Debit Karna Hai, Aur Kisko Credit Karna Hai. Receipt Ki Entry Karne Ke Liye Credit Me Aapko Wo Party Ya Person Ko Select Karna Hai Jis Se Aap payment Received Kar Rahe Hai
Us party Ke Ledger Ko Select karke Aur Jo Amount Received Kar Rahe Hai Usko Fill Kare Uske Baad Aapko Debit Me Apne Bank Account Ko Select Karna Hai, Aur Amount Jitna Aap Received Kar Rahe Hai Usko Fill Karna Hai, Uske Baad Simply Entry Ko Post Karke Save Kar Le.
Aaiye Aapko Debit/ Credit Ke Kuch Rules Discuss Kare:-
Tally Me Aksar hame Debit And credit Me Hamesa Confusion Create Hoti Hai, Ki Kise Debit Kare Aur Kise Credit Isliye mai Aapko Kuch Rules Bata Raha Hu jiski Help Se Aap Aasani Se debit Aur credit Kar Sakege. Toh Aaite Jante Hai.
Debit Rule:-
- Jis Ko Paisa Milta Hai, Woh Hamesa Debit Hoga.
- Hamare sare Kharche Means Expenses Debit Hoge.
- Jo Vastu Business Me Aaegi, Wo Debit Hogi.
Credit Rule:-
- Jiske Pas Se Paisa Jaega, woh Hamesa Credit Hoga.
- Hamari Sari Incomes Credit Hogi.
- Jo Vastu Business Se jaegi Usko Hamesa Credit Karege.
Tally Hindi Notes Ko Download Karne Ke Liye Niche Link Par Click Kare?
Technical Cube Tally Hindi Notes free Download
Tally Hindi Notes को Buy कैसे करे ??
Tally Hindi Notes Buy
Tally Study Materials Download PDF:-
Tally ERP 9 Ke Notes, Syllabus, Inventory Notes, Shortcut keys PDF Me Download Karne Ke Liye Link Par Click Karke Download Kare.
About The Post:-
Aaj Ki Post Me Maine Aapko Bataya Ki Tally Me Receipt Voucher Kya Hai? Receipt Voucher Me Entry Kaise Kare? Aur Receipt Voucher ka Use Kya Hai. Receipt Voucher Se Related Sari Jankari Aaj Maine Aapko Di.
अगर आपको Receipt Voucher Entry मे कोई भी परेशानी हो, तो आप मुझे मेल कर सकते है , मैं जल्दी ही आपकी परेशानी को दूर करने की पूरी कोशिश करुगा। मैं उम्मीद करता हु की आपको ये आर्टिक्ल पसंद आया होगा, अगर आपको ये आर्टिक्ल पसंद आया हो तो इसको सोश्ल मीडिया पर अपने दोस्तो के साथ जरूर से शेयर कीजिए, जिस से उनको भी ये जानकारी प्राप्त हो सके।