Online LIC Premium kaise Jama Kare 2023 | ऑनलाइन एलआईसी प्रीमियम कैसे भरें

Life Insurance Corporation of India (LIC) Ki Agar Baat Kare, To Shayad Hi Koi Aisa Person Hoga, Jo LIC ke Bare Me Nahi Janata Hoga.LIC India Ki Ek Famous Policy Company Hai.Aaj Jab Bhi Agar Humko LIC Ki Premium Jama karni Hoti Hai, To Hum LIC Ke Agent Ke Jariye Hi Premium Jama karte Hai, Ya To LIC Ki Office Me Jakar Ganto Line Laga kar Apni LIC Ki Kist Ko Jama Karte Hai. Agar Aaj Bhi Aap Aisa karte Hai To, Aaj Mai Aapko Online LIC Premium Kaise jama kare, Wo Bhi Apne Mobile Phone Ke jariye, Iske Bare Me Jankari Duga.

LIC Premium Kya Hai पूरी जानकारी जाने?

LIC India Ki Ek Jani Mani Policy Company Hai, Jo Hamara Aur Hamari Family Ka Life Insurance Karti Hai, Jis Se Ki Aane Wala Future Secure Rahe.LIC Ka Mai Purpose Hai Ki Middle-Class Aur Common Logo Ka Life Insurance Karna, Jis Se Unki Family ka Future Secure Ho Sake.

LIC Ki Tag Line Bhi Yehi Hai Ki (Zindgi Ke Sath Bhi Aur Zindgi Ke Baad Bhi).LIC Hame Online LIC Payment, Policy Status, Payment Status, LIC Online Payment Receipt Etc Suvidha Pradan karti Hai.

online lic premimum

Online LIC Premium Kaise Jama Kare 2022 | ऑनलाइन एलआईसी प्रीमियम कैसे भरें

Aaj Mai Aapko Mobile Ke Jariye LIC Ki Premium Ko Kis Tarah Se Bhare, LIC Premium Ki Sabhi Jankari Aaj Mai Aapko Batuga,To Aaiye Jante Hai. Waise To LIC Premium Pay karne Ke 2 Methods Hai.

Pahla Ki Aap LIC Ki Website Par jake Online Premium Pay Kar Sakte Hai, Aur Dusara Ki Aap Apne Mobile Me LIC Pay Direct App Ke Jariye Premium Pay kar Sakte Hai.

Mobile Se Premium Pay Karna Easy Hai Isliye Mai Aaj Aapko Mobile Se Aur LIC Ki Website Se Online Premium kaise Bhare,In Dono Hi Method Ko Aapke Sath Discuss karuga.Read More Articles:-Allahabad Bank emPower App में Registration कैसे करे?

Method:-1 Mobile Se Online Premium Jama Karna.

STEP-1Sabse Pahle Aap Apne Mobile Me LIC Ki Application LIC Pay Direct App Ko Install Kare, Aur Install Ho Jane Ke Baad App ko Simply Open Kare.Download App

lic pay direct

STEP-2: Open karte Hi Aapko Welcome To LIC Pay Direct Ka Message Aapki Screen par Dikhai Dega Aap Proceed Ke Option par Click Kare.

lic dashbord

STEP-3: Proceed Par Click Karne Ke Baad Aap, Please Select Ke Option Me Click Kare.

select pay type

STEP-4: Yaha Aapko kai Sare Options Show Hoge, Jaise Renewal Premium/Revival, Loan Repayment, Loan Interest Payment Etc. Aapko Premium Pay Karna Hai, To Aap Renewal Premium/Revival Option Ko Select Karke Done par Click Karege.

renual premium

STEP-5: Done par Click Karte hi Aapko 3 Simple Steps Ko Complete Karne Hoge. Customer Validation, Loan Particulars, And Payment, Aisa Show Hoga Aapko Bus Proceed par Click Karna Haitypes of lic pay

STEP-6: Aapke Samne Customer Validation ka Form Open ho Jaega, Yaha Aapko Aapki LIC Se Related Details Fill karni Hai.customer validation

  • Policy Number: Aapko Aapni Policy ka Number Yaha fill karna hai. Policy Number jab Aapne LIC Karvai Thi, Us par Likha Hota hai, Ya Phir Agar Aapke Pas Koi LIC Ki Receipt Ho To Us Par Bhi Aapki Policy Number Mention Hoga, Wohi No Ko Aapko Yaha Par Fill up Karna Hai.
  • Installment Premium( Exclusive Taxes): Yaha Par Aapko Apna LIC Ka Monthly Jo Premium Pay Karte Hai Usko Fill karna Hoga, Jo ki Aapki Premium Receipt Me Likha Hoga.Aap Yaha Par Dakh Sakte hai Ki Policy No Aur Instalment Premium Kaha Par Hota Hai.
  • Date of Birth: Yaha Aapko Apni Date of Birth Ko Fill karna Hoga.
  • Email ID: Aapko Apni Email Id Fill karni Hogi.
  • Mobile Number: Aapko Aapna Mobile Number Fillup karna Hoga.

Sari Details ko Fillup Karna Ke Baad Submit Ke Options Par Click kare.

STEP-7: Submit Par Click karne ke Baad Aapko LIC Ki Terms And Condition Ko Agree Karna Padega, Uske Baad Aapko Submit Ke Button Par Click Karna Hoga.submit

STEP-8: Submit Par Click karne ke Baad Customer Validation Complete Ho Chuka Hai, Aab Aapke Samne Premium Particular Me Aapki Sari Details Show Hogi.

Jaise Aapka Name, Premium Ki Date, Premium Amount With GST Tax include Aur Total Premium Amount Jitna Aapko Pay karna hai Wo sab Aapko yaha par Show Hoga

.Sari Details ko Check Karne Ke Baad Aapko Simply Proceed Par Click Karna hoga.premium particular

STEP-9: Ab Aapko Yaha Show karega Ki Aapki Total Kitni Policy Hai Aur Premium ka Amount kya hai,Sari Details ko Verify karne ke baad Aapko Check & Pay Par Click kare.

payment cheack

STEP-10: Aapko Yaha Par Payment ka Method ko Select karna Hoga.Aap jis Mode ko Chahe Usko Select kar sakte hai, Maine Yaha Bill Desk Ko Select Kiya Hai, Bill Desk Sare ATM Ko Except karta Hai, Bill Desk Ko Select karne ke Baad Check & Pay Par Click kare.

payment gateway

STEP-11: Check & Pay  Par Click karne Par Aapko Redirect karega Bill Desk Ke Payment Gateway Par,Ab Aapko Select karna hoga Ki Aap Kis Mode Se payment karna Chahte Hai.

Yaha Aapko Credit Card, Debit Card, Debit Card+ATM, Internet Banking, Wallets Etc Bahut Sare Payment Methods Milte Hai, Maine Yaha Par Debit Card+ ATM Ko Select Kiya Hai.

debit card

STEP-12: Debit Card + ATM ko Select karne ke Baad, Aapko Apna Bank Yaha Select karna Hoga Ki Aapka ATM Card Kis Bank Ka Hai,Aur Bank Select karne Ke Baad Simply Make Payment Par Click karna Hoga.

make payment done

STEP-13: Ab Aap Simply Payment karne Ke Baad Aapka LIC Premium Pay Ho Chuka hai, Apni Premium Ko Cheack Karne ke Liye Ki Pay Hui Hai Ya Nahi. Aapko Simply LIC Pay Premium App Ki Home Screen Par Again Aana Hoga Aur View Transaction Status Par Click Karna Hoga.view transaction

LIC Premium Receipt Ko Download Karna:-

STEP-14: View Transaction Status Par Click karne ke Baad Aapko Yaha Apna Policy Number, Date Of Transaction Aur Transaction Type Ko Select karna Hoga Select karke Jaise Hi Aap Submit karege To Aapko Apki Receipt ka Number Show Ho Jaega.

Aap Jaise Hi Receipt Ke Number Par click karege Aapko, Aapki receipt Open Ho jaegi Aab Aap Is Receipt ko Download Kar Sakte hai.seen transaction

STEP-15: Is Tarah Humne Online Apni LIC Premium Ki Payment Mobile Se Hi Successfully Kar Li. Agar Aapko Koi Bhi Problem Hoti hai Premium Pay karne Ya payment Karne Par To Aap bo_eps1@licindia.com Is Mail Par Apni Complain kar Sakte Hai.


Method :-2 LIC Ki Website Se Online Premium Jama Karna? Lic premium payment online 2022

Aap Lic Ki Premium Ko Online LIC Ki Website Par Jakar Bhi Aasani Se Jama kar Sakte Hai Uske Liye Kuch Steps ko Follow kare.

STEP:-1 Sabse Pahle Aapko LIC Ki Official Website Par Jaye. Click This Link Please Pay Lic Premium Direct Yaha Par Aapko Pay Direct Option Me Renewal Premium Revival Ke Option Ko Select Karna Hai.

pay direct

STEP:-2 Link Par Click Karte Hi Aap LIC Premium Payment Ke Page Par Aa jaege. Yaha Aapko 3 Simple Steps Ko Validate Karna Hai (Customer Validation, Premium Particulars Aur Payment Ko).Uske Liye Aapko Proceed Ke Option Par Click Karna Hoga.

premium pay

STEP:-3 Ab Aapko Customer Validation Ka Form Me Apni Sari Details Ko Fillup Karna Hai.

customer validatiion

  • Policy Number: Aapko Aapni Policy ka Number Yaha fill karna hai. Policy Number jab Aapne LIC Karvai Thi, Us par Likha Hota hai, Ya Phir Agar Aapke Pas Koi LIC Ki Receipt Ho To Us Par Bhi Aapki Policy Number Mention Hoga, Wohi No Ko Aapko Yaha Par Fill up karna Hai.
  • Installment Premium( Exclusive Taxes): Yaha Par Aapko Apna LIC Ka Monthly Jo Premium Pay Karte Hai Usko Fill karna Hoga, Jo ki Aapki Premium Receipt Me Likha Hoga.Aap Yaha Par Dakh Sakte hai Ki Policy No Aur Instalment Premium Kaha Par Hota Hai.
    • Date of Birth: Yaha Aapko Apni Date of Birth Ko Fill karna Hoga.
    • Email ID: Aapko Apni Email Id Fill karni Hogi.
    • Mobile Number: Aapko Aapna Mobile Number Fillup karna Hoga.
    • Captcha:- Captcha Code Enter Kare.
  • Sari Details ko Fillup karke I Agree Par Check Karna Hai Us Ke Baad Submit Ke Options Par Click karna Hai.

Submit

STEP:-4  Submit Par Click Karne ke Baad Customer Validation Complete Ho Chuka Hai, Aab Aapke Samne Premium Particular Me Aapki Sari Details Show Hogi.

Jaise Aapka Name, Premium Ki Date, Premium Amount With GST Tax include Aur Total Premium Amount Jitna Aapko Pay karna hai Wo sab Aapko yaha par Show Hoga.Sari Details ko Cheack karne Ke Baad Aapko Simply Proceed Par Click karna hoga. Read More Articles:-Indeed App से job कैसे search करे? आइये जाने।

premium particular

STEP:-5 Ab Aapko Yaha Show karega Ki Aapki Total Kitni Policy Hai Aur Premium ka Amount kya hai,Sari Details ko Verify karne ke baad Aapko Check & Pay Par Click kare.

policy select

STEP:-6  Aapko Yaha Par Payment ka Method ko Select karna Hoga.Aap jis Mode ko Chahe Usko Select kar sakte hai, Maine Yaha Bill Desk Ko Select Kiya Hai, Bill Desk Sare ATM Ko Except karta Hai, Bill Desk Ko Select karne ke Baad Check & Pay Par Click kare.

billdesk

STEP:-7 Check & Pay  Par Click karne Par Aapko Redirect karega Bill Desk Ke Payment Gateway Par,Ab Aapko Select karna hoga Ki, Aap Kis Mode Se Payment Karna Chahte Hai.

Yaha Aapko Credit Card, Debit Card, Debit Card+ATM, Internet Banking, Wallets Etc Bahut Sare Payment Methods Milte Hai, Maine Yaha Debit Card Ko Select Kiya Hai.payment modes

Aapko Aapke Debit Card Number, Expiration Date CVV/CVC No Aur Card Holder Name Fillup Karne Ke Baad Simply Make Payment Ke Option Par Click Karna Hoga.

STEP:-8 Make Payment Option Par Click Karte Hi Aapke Bank Se Aapke Registered Mobile No Par Ek OTP Aaega Aapko Us OTP KO Enter karke Make Payment Ke Option Par Click Karna Hoga. Click Karte Hi Aapki Payment Successfully Ho jaegi

otp verified

Finally Ab Aapne Apni LIC Ki Premium Ko Online Pay kar Di Hai.

About The Article:-

Aaj Humne ye Jana Ki Online Hum online lic premium kaise bhare? Apne LIC Ki Premium Ko Kis Tarah Pay Kar Sakte Hai, Bina LIC Ke Office Jaye. Agar Aap Bhi Agent Ke Sahare Apni LIC Ki Kist Aaj Bhi Jama Karte Hai.

To Aap, Is Method ka Use karke Aasani Se Apne Ghar Baithe Apni Premium Ko Online Pay Kar Sakte Hai, Aur Apne Time Ko Utilized Kar Sakte Hai. Agar Aapko Ye Article Acha Laga To Share Kare.

Thank You For Reading This Article. Keep Visit Again In Technical Cube

6 thoughts on “Online LIC Premium kaise Jama Kare 2023 | ऑनलाइन एलआईसी प्रीमियम कैसे भरें”

Leave a Comment