SBI Debit Card Online Apply कैसे करे 2024 | एटीएम कार्ड आवेदन कैसे करे

SBI Debit Card Online Apply : Aaj Ke Time Me ATM Card To Har Ek Person Use Karta Hai. Suppose Kabhi Aisa Hota Hai Ki Aapka ATM/Debit Card Kahi Kho Jata Hai To Aisi condition Me Aap Kya Karege, Bank Me Jakar New ATM/Debit Card Ke Liye Apply Karege.Aaj Mai Aapko Ye Batauga Ki Aap Bina Bank Me Jaye Apne Ghar Baithe ATM Ko Kaise Apply Kar Sakte hai.Agar Aapka Account SBI Me Hai To Aap Apne SBI ATM Online Apply Kaise Kare? Aaiye Janate hai.

SBI Debit Card Ko Online Apply Karne Ke Liye Aapke Pass SBI Ki Internet Banking Honi Must Required Hai, Agar Abhi Tak Aapne Apne SBI Account Me Internet Banking Ko Activate Nahi Kiya Hai To Aap Turant Hi Internet Banking Ko Active Kar Le. Kyuki Net Banking Ke Jariye Aap Bahut Sare Work Online Kar Sakte Hai.

SBI Debit Card Online Apply कैसे करे | एटीएम कार्ड के लिए आवेदन कैसे करे

SBI Me New ATM Ya Debit Card Ko Online Apply Karne Ke Liye Aap Kuch Simple Steps Ko Follow Kare.

SBI Debit Card Online Apply Kaise kare

STEP:1- Sabse Pahle Aap SBI Ki Official Website Par Jaye, Click Here:-SBI Website

STEP:2- Ab Aap Login Ke Button Par Click Kare.

STEP:3- Continue To Login Option Par Click Karke, Aage Badhe.

STEP:4- Ab Aapke Samne Login Ka Page Show Hoga, Aap Apna Username Aur password Fill Karke Simply Login Ke Button Par Click Kare,

STEP:5- Ab Aapko Upar Ke Side Me e-Services Ka Option Show Hoga, e-Services Ke Option par Click Kare.

e services

STEP:6- Aap ATM Card Services Ke Option Par Jakar Simply Click kare.

atm card service

STEP:7- Yaha Aapko ATM Card Se Related Sabhi Options Show Ho Jaege, Aap New ATM/Debit Card Ko Apply Karne Ke Liye RequestATM/Debit Card Par Click Kare.

request atm

STEP:8- Aapki Screen Par Request ATM Card ka Page Show Ho jaega, Yaha Aapko Aapke Account Ki Sabhi Information Show Hogi Jaise Account No, Account Types, Branch Etc.

Aap Simply Name On The Card ke Option Me Apna Pura Naam Fill kare Aur Select Type Of The Card Me Aapko kai Sare Card ke options Show Hoge.

Agar Aapko international Transactions Karne Ho Master/ Visa Me Se Kisi Ek Card type Ko Select kar Le. Aur Agar Aapko Only India Me transactions Karne Ho To Aap Rupee Card Ko Select kare.

Card Ko Select Karne Ke Baad I Agree terms And Conditions par Check kare Aur Simply Submit ke Button Par Click kare.request

STEP:9- Yaha Aapko Aapki Information With Address Show Hogi Jaha par Aapka ATM Card Delivered Hoga, Aap Apna Address Check kar le Aur Finally Submit Ke Button par Click kare.

submit

STEP:10- Aapko Aapko Verification process ko Karna Hoga, Yaha Aapko Verification Ke 2 types Milte Hai. One Time Password (OTP) Or Using Profile Password, Aap In Dono Me Se Kisi Bhi Type Ko Select karke Validate Khud ko kar Sakte hai. Aaye OTP Process Par Check Karte hai.

otp

STEP:11-Aapke registered mobile Number par Ek OPT Send Kiya Gaya Hoga, Aap Us OTP Ko Fill karke Simply Submit Ke Option par Click kare.

fill otp

Congress! Aapke Debit Card Ki Request Successful Accept Kar Li Gayi Hai,Aapka Debit Card Aapke Diye Gaye Address par 7 Working Days me Aapke Ghar Par Bhej Diya Jaega. SBI Ki Facility Kafi Jada Fast And Batter Hai, Jiske jariye Ab ATM Only 7 days me Aapke Ghar Pahuch jaega.

Jab Aapka ATM Aapke Ghar Par Aa Jaye To Aap Isko Online Activate kar Sakte Hai Aur Ab Aap ATM Pin Ko Bhi Online Generate Kar Sakte Hai.

Read More Articles:-

पोस्ट से संबन्धित सारांश:-

आज के इस पोस्ट मे मैंने आपको बताया कि SBI Debit Card Online Apply Kaise Kare पूरी जानकारी जाने?? sbi atm card application form online कैसे करे? आइये जाने  

sbi debit card ऑनलाइन अप्लाई कैसे करे इससे सम्बंधित अगर आपको कोई भी Problem हो तो आप मुझे मेल कर सकते है। मैं जल्दी ही आपकी परेशानी को दूर करने की पूरी कोशिश करुगा।

मैं उम्मीद करता हु की ये आर्टिक्ल आपको  पसंद आया होगा, अगर आपको ये आर्टिक्ल पसंद आया तो इसको सोश्ल मीडिया पर अपने दोस्तो के साथ जरूर से शेयर कीजिए, जिस से उनको भी ये जानकारी प्राप्त हो सके।

इस Article को पढ़ने के लिए धन्यवाद! Technical Cube मे दुबारा Visit करे.

2 thoughts on “SBI Debit Card Online Apply कैसे करे 2024 | एटीएम कार्ड आवेदन कैसे करे”

Leave a Comment