Kya Aap Busy Accounting Software Ko Use Karte hai? Kya Aapko Busy Me Contra Entry Karne Me Koi Problem Hoti Hai.? Aaj Ki Post Me Mai Aapko Batauga Ki Busy Me Contra Entry Kaise Kare? Busy Accounting Software Me Bank Se Related Sari entries Ko Post Karne Ke Liye Hum Contra Voucher ka Use Karte Hai, Hum Apne Business Me Per Day ki Jo Transaction Karte Hai Like Cash Withdrawl In Bank And Cash Deposit in Bank Aise Bank Se Related Entry Ko Hum Contra Voucher Me Post Karte Hai To Aaiye Jante Hai Ki Contra Voucher Me Entry Kaise Kare?
Busy Accounting Software Me Alag 2 Entry ko Karne Ke Liye Alag -2 Voucher Create Kiye Gaye Hai Aur In Voucher ka Alag-2 Nature Busy Me Define Kiya Gaya Hai.
Like- Sale Ki Entry Karne Ke Liye Sale Voucher, Purchase ki Entry Karne Ke Liye Purchase Voucher, Payment Ki Entry Karne Ke Liye Payment Voucher, Received Karne Ke Liye Receipt Voucher Aur Bank Ki Sari Entry Cash Withdrawl, Cash Deposit Etc Karne Ke Liye Hum Contra Voucher Ka Use Karege.
Contra Voucher क्या है? आइये जाने
Contra Voucher Ka Use Hum Tab karte Hai Jaha Par Bank Se Related Entry ki Baat Aati Hai. Contra Voucher Me Hum Ya Phir Bank Se Paise Nekalte hai, Ya Phir Bank Me Paisa jama Karte Hai,Ya To Transfer Karte Hai, Ek Bank Se Dusare Bank Me To Hum Contra Voucher Ka Use Karte Hai.
Contra Voucher Me Hum Only ( Cash Aur Bank Account) Hi Debit/Credit Kar Sakte Hai, Jaha Par Bank Ka Jikar Ho Waha Turant Sari Entry Ko Hum Contra Voucher Me Post Karege.
Some Important Point Of Contra Vouchers:-
1:- Agar Kisi Bank Me Paise Jama Kiye Jaege To Bank Account Debit Karega Aur Cash Account Means Jama Karne Wala Account Credit Karega
2:-Agar Bank Se Paise Nekal Rahe Hai, To Bank Account Credit Karega Aur Cash Account Debit Karega
3:- Agar Ek Bank ka Cheque, Dusare Bank Me Ja Raha hai To First Bank Credit Karega Aur Dusara Bank Jisme cheque Diya Gaya hai Wo Debit Hoga.
Note:-
Aksar Hamko Ye Confusion Create Hota Hai Ki Kis Voucher Me Entry Kare?? To Aaiye Kuch Points Aapse Discuss Karte Hai Ki, Aapko Kaun Se Voucher Me Entry Post Karni Hai?
- Jab Bhi Paisa Aayega Toh Simply Aapko Receipt Voucher Me Entry Karni Hai.
- Jab Bhi Paisa jaege, Means Aap Kisi Ko Payment Karege Toh Uski Entry Payment Voucher Me Karege.
- Jaha Par (Cash/Bank) Aa Jaye Toh Uski Entry Hum Contra Voucher Me Karege.
Busy Me Contra Entry Kaise Kare? Contra Entry in Busy Accounting Software?
Busy Me Contra Voucher Me Entry Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Kare.
STEP:-1 Sabse Pahle Busy Software Me Company Ko Open Kare. Open Karne Ke Liye Open Company Par Simply Click Kare
STEP:-2 Company Ko Select Karke Open Kare.
STEP:-3 Ab Apni Company Ka User Name And Password Fillup Karke Ok Ke Button Par Simply Click Kare.Aapki Company Open Ho jaegi.
STEP:-4 Contra Ki Entry Karne Ke Liye Ab Aap Transactions Me jakar Contra Par Click kare.
STEP:-5 Contra Ke Option Me Click Karne Par Aapko 3 Menu Show Hogi.( Add, Modify And List) Aapko Simply New Contra Ki Entry Post Karna Hai To New Entry Ko Post Karne Ke Liye Add Ke Option Par Simply Click Kare.
Bank Ki Sabhi Entries Ko Hum Contra Voucher Me Post Karege. Contra Voucher Kuch Is Tarah Se Dikhai Dega Busy Me Screenshot Me Dakhe.
Aaiye Jante Hai Ki Add, Modify And List Options Kya Hai??
- Add:- Jab Bhi Hamko New Bill Create karna Ho Ya New Bill Ki Entry Karni Ho, To Hum Add Option Ka Use Karte Hai.
- Modify:- Jo Bhi Bill Hum Create Kar Chuke Hai Agar Usme Koi Bhi Modification Karna Ho, Changes Karna Ho Toh Hum Modify Option ka Use karege.
- List:- Sabhi Bill’s ko Check Karne Ke Liye Hum List Option Ka Use Karte Hai Is Se Hamare Sare Bill Ek List Ke form Me Show Ho Jata Hai.
STEP:-6 Ab Aapke Samne Contra Voucher Open Ho Jaega. Contra Me Entry Post Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Kare.
- Voucher Series:- Yaha Par Aapko Main Series Ko Select karna Hai.
- Date:- Jis Bhi Date Me Entry kar Rahe Hai, Us Date ko Fillup kare.
- Debit(D):- Yaha Par D Ka Matlab Hai Debit. Aapko Debit Me Apne Bank Account Ko Select karna hai, But Hamare Pas Bank Account ka Ledger Toh hai Nahi Isliye Hum Bank ka Ledger Create karege. Aur Bank A/c Ko Debit karege Aur Jitna Amount Bank Me Jama Kar Rahe Hai Wo Fill karege.
- Credit(C):- Ab yaha Par Cash Credit Ho Raha Hai To Cash Me Jo Amount Hai Usko Fill karege
- Long Narration:- Yaha Par Humne Cash Deposit in Bank Ki Entry Post Ki To narration Me Hum Likh Dege, Narration Likhne Se hamko Ye Yaad rahta Hai, Ki Is Entry Me Humne Kya Kiya Tha. Accounts Ko Proper Dang Se Manage Karne Ke Liye Hamko Narration Bhi dalana jaruri Hota Hai, Warna future Me Hamko Shayad Yaad na rahe Ki Humne Ye Entry Me Kya Kiya Tha, But Narration Fill Rahega To Hamko Entry Me Aasani Se Yad Rahega Ki Humne Us Entry Me Kya Post Kiya Tha.
Sari Details Ko Fillup Karne Ke Baad Contra Entry Ko Save Kar Lege, Ab Humne Successfully Contra Entry Post Karni Seekh Li hai Busy Me
Busy मे Bank का Ledger कैसे बनाए, आइये जाने ?
Bank Ka Ledger Create Karne Ke Liye Keyboard Se F3 Button Press kare, Aaiye Bank Ka Ledger Banate Hai.
- Name:- Name Me Apne Bank Ka Naam Likhe
- Print Name:- Yaha Par Bhi Apne bank ka Naam Likhe, Aur Print Name Me Aapko Koi Aur Name Print karwana Hai Toh Aap Woh Naam Bhi Likh Sakte Hai.
- Group:- Group Me Aap Bank Account Group Ko Select Karege.
- Country:- Country Me India Select kare.
- State :- Aap Jis State Me Rahte hai, Us State ko Select kare.
- Bank Accouny No:- Aapko yaha Par Apne Bank A/c No Ko Fill karna Hai.
Sari Details Ko Fillup karne ke Baad Simply Save ke Button par Click karke Save kar Le.Ab Aapka Bank ka Ledger Create Ho Chuka Hai.
Busy मे Contra Entry को Modify कैसे करे?
Kabhi-2 Kya Hota Hai Ki Entry To Humne Post karke Save kar Li But Amount Galat Fill Ho Gaya Ya Phir Debit karna Tha To Credit Ho gaya, Aisi Condition Me Hamko Agar Us Entry Ko Modify karna Hai To Woh kaise Karege, Modify karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow kare. Aaiye janate Hai.
Step:1 Sabse pahle Aapko Transaction Me Aakar Contra Ke Option Me Jakar Modify Par Click Karna Hoga.
Step:2 Modify par Click Karte Hi, Aapne Jo Contra Vouchers Me Entry Post Ki Hui Hogi, Us Entry ko Ok Ke Option Par Jakar Click karege To Entry Open Ho jaegi, Ab Aap Aasani Se Contra Ki Entry Ko Modify kar Sakte Hai Aur Modify karne Ke Baad Simply Aap Again Entry Ko Save kar De.
Busy Me Contra Entry Ki List कैसे देखे?
Humne Jitni Bhi Contra Entry Post Ki Hui Hai, Agar Un Sari Entries Ko Humko Ek Sath dakhna Hai, Toh Wo Hum kaise Dakh Sakte Hai, Aaiye jante Hai.
Busy Me Contra Entry List Ko Dakhne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Kare.
Step:1- Sabse Pahle Aapko Transaction Me Aakar Contra Ke Option Me Jakar List Par Simply Click Karna Hoga.
Step:2 List par Click Karte Hi Aapke Samne Contra Ki List Ke Liye options Show Hoge Ki Aapko Kis Date Se Kis Date Tak Ki Entry Ko Dakhna Hai, Apni Marji Ke According Aap date Ko Select karke Simply Ok Ke Button par Click kare.
Step:3 Ab Aapke Samne Contra Entry Ki Sabhi List Show Ho jaegi, Yaha Aapne Jitni Bhi entry Ki Hui hai, Unko Aap Aasani Se Dakh Sakte Hai.
Toh Is Tarah Se Aapne Busy Me Contra Entry Ko Post karna Seekha.I Hope Ki Ab Aap Bust Me Contra Entry Ko Aasani Se Post kar Sakege.
Busy Accounting Software Buy on Amazon just Click this Button
Technical Cube Tally Hindi Notes free Download
- Busy Accounting Software में कैसे काम करे? पूरी जानकारी
- Busy Notes in Hindi Pdf Download कैसे करे?
- Tally Notes in Hindi Pdf कैसे Download करे?
- Accounting Book in Hindi PDF Download
- GST Hindi Book PDF Free Download 20211
- Tally Course Syllabus Pdf
- Tally Voucher Entry in Hindi Pdf
पोस्ट से संबन्धित सारांश:-
आज के इस पोस्ट मे मैंने आपको बताया कि Contra Voucher क्या है? Busy Accounting Software Me Contra Entry Kaise kare? Bank Se Related Sabhi Entry Ko Busy Me Kaise Post kare? पूरी जानकारी हिन्दी मे जाने
मैं उम्मीद करता हु की ये आर्टिक्ल आपको पसंद आया होगा, अगर आपको ये आर्टिक्ल पसंद आया तो इसको सोश्ल मीडिया पर अपने दोस्तो के साथ जरूर से शेयर कीजिए, जिस से उनको भी ये जानकारी प्राप्त हो सके।
Thanks sir bahut kuch Sikhne ko Mila
धन्यवाद rupesh जी