DL ऑनलाइन कैसे डाउनलोड करे 2022: Hi Friends, Kya Aapke Sath Bhi kabhi Aisa Hua Hai Ki, Aap Jaldi 2 Me Apna Driving Licence Ko Ghar Par Hi Bhul Gaye Ho Aur Baad Me Aapko Kafi Paresani Ka Samana karna Pada Ho.To Aaj Mai Aapko Ye Batauga Ki, Aap Apne Mobile Se Apna Driving Licence Online Kaise Check kare? Aur Sath Hi Sath Aapko ye Bhi Batauga Ki Aap Apna Driving License Kaise Download Kare, Driving License Ka Status Kaise Check Kare, DL Se Related Sari Jankari, Aaj Mai Aapko Duga.
Driving Licence Kaise Download Kare in 2022? आइये जाने
Driving License Ke Status Ko Check karne Ke Liye Aap Digitocker Application Ya Phir Digilocker Ki Official Website Ke Jariye, In Dono Hi Tareko Se Aap Apne Driving Licence Ko Aasani Se Download Kar Sakte Hai.
Aaj Mai Aapko Digilocker App Aur Digilocker Ki Website ke Jariye Driving License Ko Download Karna Batauga Aur Sath Hi Sath Ye Bhi Batauga Ki Digilocker Me Account Kaise Banaye Aur Digilocker Ka Use Kya Hai.To Aaiye Jante Hai.
Driving Licence Ko Download Karne Ke Liye Hum Digilocker Ka Use karege. Aaiye jante Hai Digilocker Kya Hai? Digilocker Indian Government Ki Ek Application hai Jaiske Jariye Hum Apne Sare Docunments Ko Online Store Karke Rakh Sakte Hai, Aur Jarurat Padne Par Soft Copy Ko Digilocker Ki Help Se Online Download kar Sakte Hai.
Digilocker Me Aisi Suvidha Hai, Ki Aapke Aadhar Card Se Link Sare Docunments Ko Aap Digilocker Ki Help Se Kabhi Bhi, kahi Bhi Access kar Sakte Hai, Aur Download Kar Sakte Hai.Digilocker Ki Security Kafi High Hai, Jis Trarh Aapke Bank Account Ki Security Hoti Hai, Usi Tarah Aapko Digilocker Me Security Milegi.
- Driving Licence Test Questions in Hindi Pdf Download 2021
- Online Electricity Bill Kaise Jama Kare?
- Online SBI Account Transfer Kaise Kare
Mobile Se Driving License Download कैसे करे? आइये जाने
Mobile Me Driving License Download Karne Ke Liye Hum Digilocker Application Ki Help Lege. Digilocker App Ke Jariye Driving Licence Download Karna.
STEP:-1 Sabse Pahle Play Store Me Jakar, Digilocker App Ko Download karke Open kare.Download App Digilocker
STEP:-2 Ab Digilocker Me Aapko Sign Up Karna Hoga, Means Account Create Karna Hoga. Ab Aap Sign Up Par Simply Click Kare.
STEP:-3 Ab Aapko Apna Mobile Number Fill karna Hoga. Number Fill karne ke Bad Continue Par Click kare.
STEP:-4 Ab Aapke Mobile Number Par Ek OTP Message Aaye Hoga Us OTP Message Ko Fill Karke, Verify Par Click kare.
STEP:-5 Ab Aap Apni Marji Ka Koi User Name Fill Kare, Aur Ek Strong Password Fill karke Sign Up Par Click kare.
STEP:-6 Aapka Digilocker Account Successfully Create Ho Gaya Hai. Aapko Apna Aadhar Card Digilocker Se Link Karna Hoga. Aadhar Card Ko Digilocker Se Link Karne Ke Liye, Niche Screenshot Me Link Your Aadhar Now Ke Option Me Jakar Click Kare.
STEP:-7 Ab Aap Apna Aadhar Number Yaha Fill Kare, Aur Check Box Par Tick, Karke Continue Ke Button Par Click Kare.
STEP:-8 Ab Aapke Aadhar Card Se Link Mobile Number Par Ek OTP Message Aaya Hoga, Us OTP Ko Fill Karke Continue Ke Button Par Click Kare.
STEP:-9 Digilocker Me Aapka Aadhar Card Successfully Link Ho Chuka Hai, Jaisa Aap Dakh Sakte Hai.Ab Aap Apne Driving Licence Download Karne Ke Liye Search Ke Button Par Jake Click Kare.
STEP:-10 Ab Aapko Apna DL Search Karne Ke Liye Driving Licence Ke Vibhag Ministry Of Road Transport And Highways, All-State Ko Search Karna Hoga.
STEP:-11 Ministry Of Road Transport And Highways, All-State Par Click Karte Hi Aapko Driving Licence Ka Option Milega Aapko Bus, Us Par Click Karna Hai.
STEP:-12 Driving License Par Click Karne Ke Bad Aapko Aapke Driving Licence Ki Details Fill Karni Hai, Jaise Aapke Father Name, Driving License Number Etc Ko Fill Karne Ke Baad Check Box Par Click Kare Aur Get Document Par Click Kare.
STEP:-13 Ab Aapka Driving License Digilocker Ke Dashboard Me Link Ho Gaya Hai.Aap Apne Driving License Ko Ab Download kar Sakte hai.
STEP:-14 Driving License Ko Download karne ke Digilocker Me Issued Documnet Me Jae.
STEP:-15 Yaha Aapko Digilocker Dashboard Me Aapka Driving License Show Hoga, Aapko Apne Driving License Ko Download Karne Ke Liye 3 Dotted Line Par Click Kare, Yaha Par Download ka Option Dikhai Dega, Bus Download Ke Option Par Click Kar De, Aapka Driving License Download Ho jaega.
STEP:-16 Aapka Driving License Successfully Download Ho Chuka Hai.
Also Read:-
- UTS App Se Online Local Ticket Kaise Book Kare?
- Axis Bank Me Zero Balance Account Kaise Khole?
- Digilocker Kya Hai? Account Kaise Banaye Simple Tarika
PC/Laptop Se Driving License Download कैसे करे? आइये जाने
PC ya Laptop Se Driving License Ko Download Karne Ke Liye Hum Digilocker Ki Website par jana Hoga.
STEP:1- Sabse Pahle Aapko Digilocker Ki Official Website https://digilocker.gov.in/ Par Jaye.
STEP:2- Digilocker Ki Website par Sign Up Ke Option Par Click Kare, Ya To Agar Aapka Account Digilocker Par Pahle Se Hi Hai, To Aap Simply Sign In Karke Digilocker Me Sign In Ho Sakte Hai. Mai Aapko Website Se kaise Sign Up kare Wo Tareka Bhi Yaha Bata Raha Hu.Sign Up Par Click Kare Aur Apna Mobile Number Fill Kare Aur Continue Par Click Kare.
STEP:3- Continue Par Click Karne Ke Baad Aapke Number par Ek OTP Aaya Hoga Us OTP Ko Fill Kare Aur Verify ke Option par click kare.
STEP:4- Ab Aapko User Name Aur Password Choose Karna Hoga, Aap Apni Marji Ka Koi Bhi User Name Aur password Create kar sakte Hai. Username Aur password Fill karne Ke Bad Signup Ke Button Par Click Kare.
STEP:5- Ab Aapko Aapka Aadhar Number Fill karna Hoga.Aadhar No Fill karke Check Box Par Tick Karke Submit Par Click Kare.
STEP:6- Submit Par Click Karte Hi Aapke Aadhar No Se Link Mobile Number Par Ek OTP Aaega, Aapko OTP Fill karke Verify Ke Option par Click karna Hoga.
STEP:7- Ab Aapko Digilocker Ki Taraf Se Ek Message Show Hoga Ki Welcome To Digilocker, Aapka Account Successfully Create Ho Chuka Hai.
STEP:8-Ab Aapke Samne Digilocker ka Dashboard Open Ho jaega.
STEP:9- Dashboard Me Aapko Issue Document Option Me Jaye Aur Pull Document Me Click Kare.
STEP:10- Pull Document Me Click Karne Ke Bad Aapke Samne Ek Page Aaega. Yaha Aapko Details Fillup karni Hai.
- Partner Name:- Partner Name Me Ministry Of Road Transport And High Way Select Karna Hai
- Document Type:- Document Name Me License Select Karege
- Name: Name Aapka Pahle Se Hi Fillup Rahega.
- Date Of Birth: DOB Bhi Aapke Autofill Rahegi, Pahle Se Hi.
- Son / Wife / Daughter:- Aapko Yaha Apne father Ka name Fill Up Karna Hai.
- Driving License No: Yaha Aapko Apna Driving License No Fill Karna Hai
Sari Details Fill Karne Ke Baad Aapko I provide my consent to share my Aadhaar Number, Date of Birth and Name from my Aadhaar eKYC information with Ministry of Road Transport and Highways, All States for the purpose of fetching my Driving License into DigiLocker. Par Check Karke Get Document Option par Click Karege.
STEP:11- Get Document Par Click Karte Hi Digilocker Data Fetch Kar Lega, Ministry of Road Transport And highway Se, Jiske Jariye hum Apna Driving License Ko Download Kar Sakege.
STEP:12- Digilocker Me Aapka Driving License Fetch Kar Liya Hai, Aapko Apne Driving License Ko Download Karne Ke Digilocker Ke Dashboard Me Jae Aur Issue Document Ke Andar Aapko Driving License Dikhai Dega Bus Aap Apne Driving License Ko Download Karne Ke Lie PDF File Ke Option par Click Karege, Aapka Driving License Download Ho Jaega.
STEP:13- Aapka Driving License Successfully Download Ho Gaya Hai, Ab Aap Isko Kahi Bhi Use kar Sakte Hai.
Read Also:-
- Digilocker Kya Hai? Account Kaise Banaye Simple Tarika
- Digibank Me Account Kaise Open Kare
- Axis Bank Me Zero Balance Account Kaise Khole?
About The Article:-
Aaj Maine Aapko Ye Bataya Ki Aap Apna Driving License Ko Kaise Check Kare, Apne Driving License Ko Kaise Download kare. Sath hi Sath Maine Ye Bataya Ki Digilocker Kya Hai? Digilocker Kya Hota Hai, Digilocker Me New Account Kaise Banaye, Aur Digilocker Ki Help Se Online Apne Driving License Ko Kaise Dakh Sakte Hai.
DL Se Related Sabki Jankari Aaj Maine Aapko Di, Agar Aapko Koi Bhi Problem Ho, To Aap Mujhe Mail kar Sakte Hai, Mai Aapki Problem Ko Solve Karne Ki Puri Kosis Karuga.
Sir mera driving licence kho gya hai me kya karu ?
Sir aapke pas agar aapka driving license number hai to aap apne RTO ke office me jaye waha aapko solution mil jayega don’t worry..