Gas Subsidy Status Online Kaise Check Kare in 2022

Indian Government Ke According Ab Aapko Gas Par Subsidy Provide Ki Jati Hai, Joh Ki Aapke Bank Account Me Credit Hoti Hai. Aaj Kal Har Ek Work Online Hota Ja Raha Hai Phir Wo Gas Cylinder Book Karna Ho Ya Subsidy Status Check Karna Ho, Kya Aapne Kabhi Socha Hai Ki Gas Subsidy Kaise Check Kare Mil Rahi Hai ya Nahi? Aaj Mai Aapko Ye Hi Batauga Ki Aap gas subsidy Ka status online Kaise Check kare?

Gas Subsidy Status Online Kyu Check Kare? What’s Reason.

Aapke Mind Me Ye Jarur Aaya Hoga Ki Akhir Hum Gas Subsidy Ka Stauts Online Kyu Check kare, Iski Akhir Kya Jarurat Hai.

Toh Mai Aapko Bata Du Ki Kabhi-2 Aisa Hota Hai Ki Hum Gas Cylinder Ko Har Month Lete Rahte Hai But Hamko Ye Pata Nahi Hota Hai Ki Subsidy Amount Hamare Bank Account Me Credit Ho Raha Hai Ya Phir Nahi.

Aisi Condition Me Hum Online Apni Gas Subsidy Ka Status Check Karke Pata kar Sakte Hai Ki Kitna Amount Hamare Account Me Aa Raha Hai.

Gas Subsidy Status Online Kaise Check Kare?

Aaj Mai Aapko  Computer Aur Mobile In 2 Methods ke Jariye Ye Batauga Ki Aap Gas Subsidy Ka Status Online Kaise Check kar Sakte Hai.

Gas Subsidy Status Online Kaise Check Kare? इंडियन Gas, भारत और HP Gas Subsidy Status 2022?

gas subsidy kaise check kare mil rahi hai ya nahi ये सवाल सभी के mind मे जरूर से आता होगा, तो आइये हम Indane, HP And Bharat Gas Subsidy ka Status Online Check Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow kare.

STEP:1- Sabse Pahle Aap My LPG Ki Official Website Par Jaye Click Here:-Mylpg Website

STEP:2-Aapke Screen Par 3 Cylinders Show Hoge, Aapko Jis Gas Agency Ka Subsidy Status Check Karna Hai, Us Cylinder Par Click kare. Yaha Hum Indane Gas Ki Subsidy Status Check Karna Bata Rahe Hai

indain gas

STEP:3- Ab Aapke Screen par Kafi Sare Options Show Hoge, Gas Subsidy Ka Status Online Check Karne Ke Liye Aap Give Your Feedback Online Ke Option Par jakar Simply Click Kare

feedback online

STEP:4-Aapko Ab Welcome to Indian Oil Support Ka Ek Page Show Hoga, Yaha Aap LPG Ke Option par Click kare.

lpg

STEP:5- Complaint Details Me Aapko Gas Subsidy Type Karna Hai, Gas Subsidy Ko Type Karke Aap Simply Proceed ke Option Par Click kare.

gas subsidy

STEP:6- Aapko Ab Select Category Menu Me Subsidy Related(PAHAL) Ke Option Par Click Karna Hai, Jaise Hi Aap  Subsidy Related(PAHAL) Ke option par Click karege.

Aapko Ek Sub-category Ka Option Show Hoga Yaha Aap Subsidy Not received Ke Option Par Click kare.

subsidy pahal

STEP:7- Aap Apne Gas Subsidy ka Status Apne Registered Mobile Number Se Ya Phir LPG ID Ke Jariye Pata Kar Sakte Hai. Aapko Pas In Dono Options Me Jo Available Ho Aap Use Yaha Fill kare Aur Submit Ke option Par Click kare.check mo no

LPG ID Kaise Pata Kare? पूरी जानकारी जाने 

Agar Aapko Apni LPG ID Pata Nahi Hai, To Aap Know Your LPG ID Ke Option Me Jakar Apni LPG ID Pata Kar Sakte hai.Follow It.

  • Know Your LPG ID Ke Option Par Click Kare.Ab Aapke Samane Ek Page Open Hoga, Jisme Aapko Apni Kuch Details Ko Select Karna Hai

Like:- State, District, Distributor Name And Consumer No Sabhi Details Ko Fillup Karne Ke Baad Find Ke Button Par Simply Click Kare.

find

  • Aapko Aapki LPG ID Show Ho Jaegi See The Screenshot.

confirmed shiv prasad

STEP:8- Ab Aapko Aapki Gas Subsidy Ka Pura Status Show Ho jaega, Ki Order Number Kya hai, Subsidy Ammount Kitna Mila Etc Sabhi Details Aapko Yaha Mil jaegi.

subsidy jankari

Is Procedure Me Maine Indane Gas ki Subsidy Ka Status Kaise Check kare, Woh Details Aapko Provide Ki. Read More Articles:- GST offline tool क्या है? GST offline tool Download कैसे करे?

Aap Thik Isi Process Ke Jariye  HP Aur Bharat Gas Subsidy Ka Status Aasani Se Check Kar Sakte Hai. Is Procedure Ko Follow Karke Aap Apni Subsidy Ka Status Aasani Se check Kar Sakte Hai.


Mobile Se Gas Subsidy Status Online कैसे चेक करे? कैसे जानें कि खाते में सब्सिडी आ रही है या नहीं?

Aap Apne Mobile Phone Se Bhi Gas Subsidy Ka Status Online Check Kar Sakte Hai, Gas Subsidy Status Check Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Kare.

STEP:-1 Sabse Pahle Aap Play Store Se LPG Subsidy Check Naam Ki App Ko Download Karke Isko Open Kare:- Click here Download Now

STEP:-2 Yaha Aapko Bahut Sare Option Milte Hai, Hame Subsidy Status Check Karna Hai To Simply Direct Subsidy Check ke Option Me Jakar Click Kare.

lpg subsidy

STEP:-3 Aapko Yaha 3 Options Milege, Aapko Kis Gas Agency Ki Subsidy Status Ko Check karna Hai Usko Select kare. Mai Yaha Indane Gas Ki Subsidy Status Check kar Raha Hu To Indane Gas Par Click Kare.

STEP:-4 Aap Simply LPG Ke Option Par Click Karke Aage Badhe.

lpg

STEP:-5 Yaha Aapko Gas Subsidy Type Karna hai, Aap Gas Susidy Likh kar Niche Proceed Ke option Par Click kare.

gas subsidy

STEP:-6 Aapko Yaha Par Category Options Show Hoge, Aap Subsidy Related(PAHAL) ke Option Par Click Kare, Jaise Hi Aap Subsidy Related(PAHAL) Ke Option Par Click Karege Sub-Category Ka Option Show Hoga Yaha Aap Subsidy Not Received Ke Option Par Click kare

subsidy pahal

STEP:-7 Aap Yaha Apna Gas Agency me Registered Mobile Number Fill kare Ya Phir Apni LPG Id Ko Fill kare. Dono Me Se Jo Aapke Pas Available Ho Usko Fill Karke Simply Submit Ke Option Par Click Kare.

no

Aap Chahe To Apni LPG Id Ko Find Bhi Kar Sakte Hai Uske Liye Aap Know Your LPG ID Ke Option par jakar Simply Click kare, Aur Apni Details ko Fillup Kare, Aapko Aapki LPG Id Show Ho Jaegi.

STEP:-8 Finally Aapko Aapki LPG Gas Subsidy Ka Status Show Ho Jaega, Yaha Aapko Sabhi Details jaise Order No, Delivery date, Subsidy Amount Etc Sabhi Show Ho Jaegi.

subsidy check

Gas Subsidy kaise Check kare Mil Rahi Hai Ya Nahi Iske Sabhi Process Ko Maine Aapko Bataya. Aap Apne Mobile Se Bhi Gas Subsidy ka Status Aasani Se Check kar Sakte Hai.

Maine Yaha Indane Gas Subsidy Stauts Check kiya But Aap Isi Procedure Ko Follow Karke, Aap (HP Aur Bharat) Gas Ka Status Bahut Hi Aasani Se pata kar Sakte Hai.

Read Also:-

About The Post:-

Aaj Ke Is Article Me Maine Aapko Ye bataya ki Aap Indane, Hp Bharat Gas Subsidy Online Kaise Check Kare? indane gas subsidy check status online 2022? Gas Subsidy Status Check Karne ke (2 Methods) Maine Aapko Bataya Ki Aap Mobile Aur Laptop Dono Se Kis Tarah Apni Subsidy Status Ko Check karke Ye Pata Kar Sakte Hai Ki Aapke Bank Account Me Subsidy ke Paise Mil Rahe Hai Ya Phir Nahi.

Thank You For Reading This Article. Keep Visit Again In Technical Cube

Leave a Comment