Google Drive Kya Hai? Google Drive Ko kaise Use Kare?

Kya Aapne Google Drive Ka Naam Suna Hai, Agar Ha To Aapke Mind Me Ye Question To Jarur Aaya Hoga Ki Google Drive Kya Hoti Hai.Google Drive Ka Use Kya Hai?Google Drive Dakha Jaye To Ek Cloud Storage Service Hai, Jo Ki Google Hame Deta Hai, Apna Data Store And Safe Rakhne Ke Liye. Aaj is Post Me Mai Aapko ye Bataunga ki Google Drive kya Hai? What is Google Drive in Hindi

Google Drive Ka Kya Kaam Hota Hai Aur Hum Google Drive ko Kaise use kar sakte hain. Aaj ki is Post me Mai Aapko Mobile Aur Laptop Se Google Drive Ko Use Karna Batauga.Toh Aaiye Janate Hai.

Google Drive Kya Hai.?

Google Drive Ek Online Data Storage Service Hai (Data Stroage like.Files, Photos,Documents,pdf etc) ko Hum Google Drive Me Store Kar Sakte Hai, Aur Kahi Se Kisi Bhi Laptop Ya PC Se Access Kar Sakte Hai.Google Drive Hame (15 GB) ki Free Storage Space Files ko Save Karne ke liye Provide karti Hai.

google drive kya hai

Read It:-

Google Drive Ko Laptop/PC se Kaise Use Kare.?

Google Drive Ko Laptop/PC  Se Use Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko follow Kare.

STEP-1: Google Drive ko Pc/laptop Se Use Karne Ke Liye Apne Gmail Account Me login ho Jaye. Aur (3 Dotted) line Par Jakar click kare.

Gmail login

STEP-2: Click Karne Ke Baad Aapko Google Drive ka Icon Dikhega, Aap Google Drive Ke Icon Par Jakar Simply click Kare..

STEP-3: Click Karte Hi Aapki Google Drive Open Ho Jayegi. Jo Ki Kuch Is Tarah Aapko Najar Aaegi. Follow This Screenshot Please.

STEP-4: Google Drive Me Photo/Files/Pdf etc Ko upload Karne ke Liye My Drive option par click Kare, fir Upload files par click kare And Us file ko Select Kare, Jisko Aapko upload Karna Hai.File Ko Select karte Hi Aapki File Upload Hona Start Ho Jaegi.

STEP-5: Upload ki Hui file ko Delete Karne Ke liye ,Us file Par jake, Right click karege Fir Aapke Samne Ek Menu Aaegi then Remove Par Jake click kar Dege, Woh file Drive se Delete ho Jaegi.

Also Read:-

Google Drive Ko Mobile Se Kaise Use Kare.?

Google Drive Ko Mobile Se Use Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow kare.

STEP-1: Google Drive ko Mobile se use karne ke liye Apne Android Mobile Me Google Drive ki App Mai Jaye Aur Click Kare..google driveSTEP-2: Google Drive App ko Click Karte Hi, Aapki Google Drive Open Ho Jaegi.login google drive

STEP-3: Google Drive Me Photos, Files, PDF ko Upload Karne Ke Liye (+) Plus icon Par Click kare fir upload, par click Karege. Ab jo file Aapko Upload Karni Hain use select Karte Hi Aapki file upload hona Start Ho Jaegi.upload files

STEP-4: Upload Ki Hui File ko Delete karne ke liye, Us file Par Jakr kuch Der click karege, Uske Baad Aapko Romove Ka Option Dikhai Dega Then Simply Romove Par Jakr Click kar Dege, Aapki Wo File Delete Ho Jaegi.

About The Post:-

Aaj Maine Aapko ye Bataya Ki Google Drive Kya Hai? Google Drive Ka Use Kya Hai.Google Drive Ko Hum Kis Tarah Apne Documents, File, Photos, Etc Ko Online Store Kar Sakte Hai, Aur Jarurat Padne Par Kahi Se Bhi Access Kar Sakte Hai Aur Files Ko Dakh Sakte Hai, Download Kar Sakte Hai.

Agar Aapko Google Drive Se Related Koi Bhi Problem Ho To Aap Mujhe Mail kar Sakte Hai, Main Jaldi Hi Aapki Problem Solve karne Ki Puri Kosis Karuga.

share Technicalcube

Thank You For Reading This Article. Keep Visit Again In Technical Cube

1 thought on “Google Drive Kya Hai? Google Drive Ko kaise Use Kare?”

  1. Google Drive is a cloud storage service offered by Google. It allows users to store and share files with others.

    Reply

Leave a Comment