How To Restore Backup in Tally ERP 9 in Hindi (2024)

Kya Aap Apne Accounts Ko Maintain Karne Ke Liye Tally ERP 9 Software Ka Use karte Hai? Aap Apne Data Ka Managment Kis Tarah Se karte Hai? Aisa Aapke Sath Kabhi Hua Hoga Ki Kisi Reason Ki Wajah Se Aapka Sara important Data Loss ho gaya Hoga, Jis Me Aapki kafi Important Files Ya Transactions Details Rahi Hogi. Toh Aaj Ke Is Post me Mai Aapko Ye Batuga Ki Aap Tally Me Company Ka Backup kaise Le? How to Restore backup in tally?

Tally Me Company ka Backup Lena Kyu jaruri hai? Sath Hi Sath Mai ye Bhi Batauga Ki Aapne Jo Backup Liya Hai Company ka Us Backup ko Restore Kaise kare Means Company ko Restore kaise kare?

Aaj Main Compay Backup And Restore Se Realted Sabhi jankari Aapko Duga To Aaiye Jante Hai.

Tally Me Company ka Backup कैसे ले? आइये जाने 

Aksar Aisa Hota hai Ki Kabhi-2 Hamara Sara Tally Ka Data Loss Ho Jata Hai Jis Se Hamko Kafi Dikat Ka Samana karna Padta Hain

Islie Hum Apne Company Ke Data Ko Safe rakhne Ke Liye Us Data Ka Backup Le Sakte Hai Aur Kabhi Bhi Us Data ko Future Me Recover Kar Sakte Hai.Tally Me Backup Kaise Le Aaiye janate Hai.how to restore backup in tally erp 9

Tally Me Company Ka Backup Lene Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Kare.

STEP:-1 Sabse Pahle Aap Tally ERP 9 Software Ko Open Karege.

STEP:-2 Tally ERP 9 Software Ko Open Karne Ke Baad Aapko Aapki Screen Par Kuch Aisa Show Hoga, Aapko Simple Work in Education Mode Me Tally Software Ko Open Karna Hai.

Educational Mode tally

Work In Educational Mode Tabhi Show Hoga Jab Aapne Apne Tally ERP Software Ko Activate Nahi Kiya Hoga

. Agar Aapne Tally ERP 9 Software ko License PurchaseKiyaa Hoga To Educational Mode Aapki Screen Par Show Nahi Hoga

Educational Mode Kya Hai:- Educational Mode Wo Hota Hai Jisme Hum Only Educational Purpose Se Tally Me Entry Kar Sakte Hai, Only Learning Point Of View Se. Educational Mode Me Hum Bus (1 Aur 2 Date) Ki Hi Entry Ko Post Kar Sakte Hai.

STEP:-3 Ab Aap Ek Company Ko Open Kare.Company Ko Open Karne Ke Baad Apne Keyboard Se (Alt+F3) Button Ko Press Kare.

(Alt+F3) Press Karne Par Aapko Backup Ka Option Dikhai Dega Aapko Simply Us Backup Ke Option Par Click Karna Hai.backup file tally

STEP:4 Backup Par Click Karne Ke Baad Aapko Select Company Backup Ki Menu Open Ho Jaegi.

Yaha Source Me Aapko Aapki Tally Jaha Install Hai, Uska Location Dena Hai, Ya Phir Aap Kisi Other Jagah Se Tally ko Chala Rahe Hai, Jaise Pen Drive Ya Kisi Other Drive Se To Uska Location Yaha Par Dena Hoga.source

Note:-

  • Tally Me Kisi Bhi File Ko Copy Karne Ke Liye (Ctrl+Alt+C) Karte Hai
  • Tally Me Kisi Bhi File Ko Paste Karne Ke Liye (Ctrl+Alt+V) Karte Hai

STEP:5 Destination Me Aapko Wo Location Deni Hai, Jaha Par Aap Apni Company ka Backup Banana Chahte Hai, Us Location Ko Yaha Destination Me Fill kare.destination

STEP:6 Source Aur Location Dene Ke Baad Aapko Name Of company Me Jis Bhi Company ka Backup create Karna Chahate Hai, Us Company Ko Select Kareselect company

STEP:7 Company Ko Select karne Ke Baad Simply Yes Kare, Aapki Company ka Backup Aapke Diye Gaye Location Me Create Ho Gaya Hoga.successful backup

STEP:8 Ab Aap Apne Location Jaha Par Backup Create Kiya Tha Waha Par Jakar Check kare Aapko TBK900_10013 Is Naam Ki File Show Hogi, jaisa Ki Maine Screenshort Me Aapko Dikhaya Hai.d drive company backup

Tally Backup File Format

Tally Me Backup File Format Kaisa Hoga, Aaiye Janate Hai

The Backup file TBK900.001 is stored in the specified folder. Tally Ka Jo Backup Banega Jis Format Me Wo TBK900.002 Aise Hi Format Me Banega.

Ab Aapne Successfully Tally Me Apni Company Ka Backup Create Kar Liya Hai. Ab Aap Is Backup Ki Help Se Aasani Se Apni Company Ke Data ko Kabhi Bhi Recover Kar Sakte Hai.

Tally Me Company Ke Backup ko Kaise Recover Kare?

Tally Me Backup Lena Humne Seekh Liya Hai, But Us Backup Ko Agar Humko Recover karna Hai Toh Hum Kis Tarah karege Aaiye Uske Bare Me Aapko Batata Hu.

STEP:1 Sabse pahle Aap Ek Company Ko Open Kare.Company Ko Open Karne Ke Baad Apne Keyboard Se (Alt+F3) Button Ko Press Kare.

(Alt+F3) Press Karne Par Aapko Restore Ka Option Dikhai Dega Aapko Simply Us Restore Ke Option Par Click Karna Hai.restore

STEP:2 Ab Destination Me Aapko Apne Tally Jaha Install Hai, Wo Destination Ko Choose Karna hai,

Aur Source Me Aapne Jo Backup file create Ki Hui Thi, Usko Jaha Jis Drive Me Aapne Rakha Hai Us Drive Ka Location Fill karna Hai.

source destination

STEP:3 Ab Aap Name Of Company Me Jaise Hi Click karege Aapke Samne Wo Company Show ho jaegi. Aapko Bus Us Company Ko Select Karna Hai.

list of company select

STEP:4 Company Ko Select karke Aapko Simply Yes Ke Option Par Click Karna Hai, Jaise Hi Aap Yes Par Click karege Aapki Company ka Backup Restore Ho jaega.

Ab Aap Select Company Ke Option Par Jab Jaege to Aapne Jis Company Ka Backup Create Kiya Tha, Woh Company Bhi Aapke Samne Show hogi.done backup yes

Toh Is Process ke jariye Aap Kisi New Company Me Apni Purani Company Ko Aasani Se Restore kar Sakte Hai.

Toh Aaj Humne Company Ka Backup kaise Le Aur Restore Kaise Kare Ye Seekha.I Hope Ki Ab Aap Aasani Se Compny Backup, Restore Tally Me kar sakte Hai.

Technical Cube Tally Hindi Notes free Download 

ebook

Download Now

About The Post:-

Aaj Ke Is Article Me Maine Aapko Bataya Ki Tally ERP 9 Me Kisi Bhi Company ka Backup kaise Le, Hamko backup Lene ki Kya jarurat hai. Tally Me Backup File Ko kaise Restore kare.

I Hope you Like this Post. Agar Aapko Company Backup Aur Restore Me Koi Bhi Problem Aae toh Aap Mujhe Mail kar Sakte Hai, Mai jaldi Hi Aapki Problem Solve Karne ki Puri Kosis Karuga.

Thank You For Reading This Article. Keep Visit Again In Technical Cube

Leave a Comment