Aaj Kal Passwords Ko Manage Karna kafi Jada Complicated Ho Gaya Hai, Kyuki Hamare Pas Aaj Facebook, Twitter, Gmai Etc Kafi Sare Multiple Accounts Hote Hai, Jis Se Kabhi-2 hum Apna Password Bhul Jate Hai Kya Aapke Sath Bhi Aisa Hota Hai? Toh Aaj Mai Aapko Ye Hi Batuga Ki Aap Apne Instagram Account Ka Password Kaise Change Kare?
Agar Aap Apne Instagram Account Ka Password Bhul gaye hai To Aap Kuch Hi Minuts Me Apne Password Ko Aasani Se Recover Kar Sakte Hai.Aaj Ke Time Me Instagram Ek Behad popular Social Networking Photo Sharing App Hai, Jisko Lagbhag Har Ek Person Use Karta Hai.
Instagram Ka Password Kaise Change Kare?
Instagram Account Ka Password Change Karne Ke Liye Aap Kuch Simple Steps Ko Follow kare.
STEP:1 Sabse Pahle Aap Instagram App Ko Open kare.
STEP:2 Ab Aapke Samne Forgotten Your Login Details Ka Option Show Hoga, Us Par Simply Click Kare.
STEP:3 Ab Aap Send SMS Message Ke Option Par Click Kare.
STEP:4 Yaha Aapko Apne Instagram Account Ko Recover Karne Ke 3 Options Milte Hai, Send an Email, Send An SMS Message Aur Login in With Facebook.
Aap In 3 Methods Ke Jariye Apna Instagram Account Ka Password Recover Kar Sakte Hai. Hum Yaha Send An SMS Message ke Jariye password Recover karege To Aap Simply Send an SMS Message Ke Option Par Click Kare.
STEP:5 Ab Aapke Instagram Account Se Link Number par Ek Password Reset Ka Link Send Kiya Jaega, Jiske Through Aap Apna Password Reset Kar Sakte Hai.
STEP:6 Ab Aapke Mobile Par Ek Password Reset ka message Aaya Hoga, Aap Simply Is Link Par Click Kare.
STEP:7 Ab Aapke Samne New Password Create Karne Ka Option Show Ho jaega, Aap New Password Fill Kare And Again Password Confirm Karke Simply Reset password Ke Option par Click kare.
STEP:8 Ab Aapke Number Par Ek OTP Message Send Kiya Gaya Hoga, Aap Us OTP Message Ko Fillup Karke Simply Log in Ke Option Par Click kare.
STEP:9 Ab Aap Apne Instagram Account ka Password Successfully Change Ho Chuke Hai Aur Aap Ab Is New Password Ko Fillup Karke Apne Instagram Account Me Login Ho Sakte Hai.
Read It:-
- Instagram Account Me 2 Step Verification Kaise Active Kare?
- Facebook Two-Step Verification Kaise Active Kare
- Whatsapp 2 Step Verification Ko Enable Kaise Kare
Email Se Instagram Ka Password Kaise Recover kare?
Aap Email Option Se Bhi Apne Instagram Account ka password Aasani Se Recover Kar Sakte Hai. Email Ke Jariye Password Recover Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow kare.
STEP:1 Sabse Pahle Aap Upar Jaisa maine Process Aapko Bataya Hai Usko Again Follow Kare, It Means Aap Instagram App Ko Open Kare.
STEP:2 Aapke Samne Forgotten Your Login Details Ka Ka Page Open Hoga, Us Par Simply Click Kare.
STEP:3 Ab Aap Simply Send SMS Message Ke Option Par Click Kare.
STEP:4 Yaha Aapko Apne Instagram Account Ko Recover Karne Ke 3 Options Milte Hai, Send an Email, Send An SMS Message Aur Login in With Facebook.
Yaha Hum Send As Email Ke jariye Apna Instagram Account ka Password Recover Karege, Upar Maine Aapko Send As Message ke jariye Password Ko Change karna Bataya Hai.
STEP:5 Aapki Email Id par Ek Link Instagram Ke Taraf Se Aaya Hoga, Aap Apna Mail Check Kare.
STEP:6 Aapki Email Id Par Ek Instagram Ki Taraf Se Email Aaya Hoga, Isme Aapko Niche Side Me Reset Your Instagram Password Ka Option Show Hoga, Aap Us Option Par Click Kare.
STEP:7 Ab Aapke Samne Change password Ki Menu open Ho Jaegi Aap New Password Enter Kare And Password Ko confirm karke Upar Check Ke Symbol Par Click Kar De.
STEP:8 Ab Aapko Instagram Account Ka Password Successfully Changed Ho Chuka hai. Aap Kisi Bhi Method Email Ya SMS In Dono Hi Methods ke Jariye Apna Instagram Account Ka Password Successfully Change Kar Sakte Hai
Bus Password Ko Change Karne Ke Liye Aapke pas Mobile No Aur Email Id Available Honi Chahiye, Jis Email/Mobile Se Aapne Apna Instagram Account Create Kiya Tha.
Read Also:-
- Emails Ka Backup Kaise Le Janakri in Hindi
- Axis Bank Me Zero Balance Account Kaise Khole?
- Online SBI Account Transfer Kaise Kare
About The Post:-
Aaj Ki Is Post Me Maine Aapko Ye Bataya Ki Aap Apne Instagram Account Ka Password Kaise Pata Kare, Instagram Account Ka Password Bhul Jane Par Aap 2 Methods Se Email/SMS Se Apna password Aasani Se Change Kar Sakte Hai. Agar Aapko Post Achi Lagi Ho To Aap Social media par Isko Share kare.
Lovely explanation keep share with us.. Thank you
Nice information
Thanks
fantastic article
Thanks brother
बहुत ही अच्छी जानकारी दिए है भाई आपने
aapne bahut hi achchi information share ki hai