IRCTC App Se Tatkal Ticket Kaise Book Kare?

Kabhi-2 Hamre Sath Aisa Hota Hai Ki Hame Ugrently Kahi Bahar Jana Hota Hai, But Us Waqt Train Me Tickets Availables Hi Nahi Hoti Hai, Aise Me Aap Kya karege? Train Me Agar Aapko Travel karna Ho to Ye Sawal hamesa Hame Paresan Karta hai Ki Pata Nahi Ticket Confirm Milegi Ya Nahi? To Aaj mai Aapko ye Batane Wala Hu Ki Aap Online Apne Mobile Se IRCTC ki Official App Se Tatkal Ticket kaise Book kare?

Tatkal Ticket Booking Timing in 2022?

Tatkal Ticket booking Ki Timing Ke Bare Me Agar Baat Kare To Chahe Aap Apne Mobile/Laptop/PC Se Book Kare ya Phir railway Satation Se jakar Book Kare Aapko Kya Timing hai, Uske Bare Me Aaiye Batata Hu.

Jab Se Internet Ka Daur Aaya Hai, Bahut Kam Hi Log Aise Hoge Jo Railway Satation Jakar Tatkal Ticket Book Karte Hoge, Aaj kal Sabhi Log Apne Mobile Ya PC Se Hi Tatkal Ticket Ko Book karte Hai. Tatkal Ticket Ki Timing Kuch Is Tarah Se hai.

  • Agar Aap AC Class Me Tatkal Tickets Ko Book Karna Chahte Hai To AC Class Ki Timing Subah 10:00 Am Se 11:00 Am Tak Hoti Hai.
  • Agar Aap Sleeper Class SL Me Tatkal Tickets Ko Book Karna Chahte Hai To SL Class Ki Timing Subah 11:00 Se 12:00 Tak Hoti Hai.

Irctc App Se Tatkal Ticket Kaise Book Kare

Online Tatkal Ticket Book Karne Ke Liye Aapke Pas Kya Kya Available Hona Chahiye?

1-IRCTC Account:- Online Tatkal Ticket Book Karne Ke Liye Aapke Pas IRCTC Ka Ek Account Hona Chahiye Agar Aapke Pas IRCTC Ka Account Nahi Hai, Toh Aap Ticket Book Nahi Kar Sakege. 

2-Internet Connection:- Ticket Book Karne Ke Liye Aapke Pas Internet Connection Hona Jaruri Hai, Kyuki Bina Internet Connection Ke Aap Ticket Book Nahi Kar Sakege.

3- Smartphone:- Online ticket Book Karne Ke Liye Aapke Pas Ek Smartphone Hona Jaruri Hai.

4-Payment Options:- Online Train Ticket Book Karne Ke Liye Aapke Pas Payment Karne Ka Option Hona Required Hai, Ya To Aapke Pas Internet Banking Ho, Ya ATM(Debit Card), Credit, Card, Paytm Account Etc Anything Koi Bhi Payment Mode Available Hona Must Required Hai.


IRCTC App Se Tatkal Ticket Kaise Book Kare? मोबाइल से तत्काल टिकट कैसे बुक करें Step By Step All Procedure

IRCTC Ki Official App IRCTC Rail Connect Ke Jariye Aap Tatkal Ticket Kaise Book Kare? Uske Liye Aapko Kuch Simple Steps Ko Follow Karne Padege.

STEP:1 Sabse Pahle Aap IRCTC Ki Official App IRCTC Rail Connect Ko Play Store Se Install Kare. Ya Phir is Link par Click Karke App Ko Download Kare. Download IRCTC App

STEP:2 Ab IRCTC Rail Connect App me Apna User Id Aur Password Fillup Karke Login Kare.

STEP:3 Ab Aapke Samne New Booking ka Page Show Ho jaega. Yaha Aapko Kaha Se Kaha Tak Travel Ki Tickets Chahiye Usko Search Karna Hoga.

new booking options

  • From:- Aapko Kis Station Se Travel karna Hai, Usko Fill Kare. jaise Hame Allahabad Se Journey karni Hai.
  • To:- Aapko Kis Station Tak Travel karna Hai, Use Fill kare Like:- Hame Delhi Tak jaourney karni Hai.
  • Journey Date:-Aapko Kis Date Me Travel karne hai, Wo Date fill kare

Sari Details Ko Fill Karne Ke Baad Search Train Ke Option Par Click Kare

STEP:4 Aapko Yaha Par Tatkal Ticket ka Option Show Hoga, Usko Select Kare Aur Jis Train Me Journey Karni Hai Use Select Kare.

train list

STEP:5 Train Ko Select karne Ke Baad Aapko Class Select Karni Hogi, Matlab Ki Aap Kis class Ki Ticket Book Karna Chahte Hai. Mai Yaha Sleeper Class Ki Ticket Book Kar raha Hu To Simply SL Class Par Click Kare.

magadh express

STEP:6 Ab Yaha Aapko Train Ki Details Show Ho Jaegi. Means Ki Aapko SL Class Me Available Tickets Show Ho Jaegi. Ticket Ko Book Karne Ke Liye Book Now Ke Option Par Click kare.

magadh express book now

STEP:7 Aapki Screen par Ab Ek Confirm Selected Train ka Ek Message Show Hoga, Aap Simply Confirm Ke option Par Click kare.

confirm

STEP:8 Ab Aapki Screen Par Add passenger (+) Ka Option Blink Karta Show Hoga, Aap Us (+) Ke Option Par Click karke Passenger Ko Add kar Sakte hai. Aaiye Janate Hai Ki Add passenger Option Me passengers Ki Details Ko Kis Tarah Se fill kar Sakte hai.add passenger

Add passenger Option Me Passenger Ki Details Ko kaise Fill kare? 

Passenger List Ko Add karne ke Liye Aap In Simple Steps Ko Follow kare.

First Step:- Sabse Pahle Aap IRCTC App me Login Ho jaye Aur Aap 3 Dotted line Par Click kare, Aapko Aapke Accounts Se Related Sabhi Options Show Hoge. Yaha Aapko My Account Ke Option Me Manage Master List Ka Option Show Hoga, Aap Us par Click Kare.manage master list

Next Step: Aapko Yaha Click here to add new passenger ka Option Show Ho Raha Hoga Us Option par Click kare.add passenger here

Next Step: Aapki Screen par passenger Details ka Page Show Hoga, Aapko Yaha Apni Details Ko Fillup Karna Hai. Follow Itpassenger details

  • Name:- Apna Pura Naam Fill Kare.
  • Date Of Birth:- Apni Date Of Birth Ko Fillup kare.
  • Gender:- Male, Female Apna gender Ko Select kare.
  • Aadhar Id:- Aap Drop Down Menu Me Apna Koi Bhi ID Proof Ko Select kar Sakte Hai, Maine Yaha Par Aadhar Card Ko Select Kiya Hai. Aadhar Select karne Ke Baad Apna Aadhar No Fillup kare.
  • Birth:- Apni Pasand Ki Birth Ko Select kare.
  • Food:- Veg Or Non Veg Food Preference Ko Select Kare.

Sari Details Ko Fillup karne Ke Baad Done par Click Kare.

Next Step: Ab Aapke Screen par Confirmation Ka Ek Message Show Hoga, Jisme LikhaHogaa Ki Aapke Passenger Details Successfully Add ho Chuki hai.confirm

Next Step: Ab Aap Apni Master List me Apni Passenger Ki details Ko Dakh Sakte Hai Ki Aapki Passenger details Successfully Add Ho Chuki Hai, Show The Screenshot.passenger add done

Note:-

Hum Passenger Details Ko isliye Add Kar Rahe Hai Woh Isliye Ki Jab hum Tatkal Ticket Ko Book Kare Toh Hame Hamri Details Ko Fillup Na Karna Pade Aur Hum Is Add passenger Details Ke Option Ka Use Kar Sake.

Jis Se Ek Click Karne Par Automatic Hamari Details Fillup Ho Jaye. Bus Isi Wajah Se Hum passenger Details Ko Add Kar Rahe Hai. Read More Articles:- UTS App Se Online Local Ticket Kaise Book Kare?

STEP:9 Aapko Select Passenger Ka Page Show Hoga Aur Aapne Jo Abhi Passenger Add Kiya Hai, Woh Bhi Show Ho jaega, Aap Simply Check Ke Box Par Check kare Aur Niche Side Done Ke option Par Click kare.add passender details option

STEP:10 Jaise Hi Aap Done Ke Option par Click Karege, Aap dakhege Ki Aapko Passenger Ki Datails Ko fill Karne Ki jarurat Nahi Padti, Automatic Aapki Sari Details Fillup Ho Gayi. Show The Screenshot.

Ab Niche Aapko Apna Mobile No Fillup Karna Hai, Aur Simply Book Ticket Ke Option par Click karna Hai.automatic add passenger

STEP:11 Ab Aapke Samne payment Details ka Page Show Hoga, Jisme Aapki Sabhi Details Train No, Fee Etc Dikhai Degi. Aap Bus Capcha code Ko Fillup Kare Aur Proceed To Payment Ke Option Par Click Kare.payment

STEP:12 Yaha Aapko payment Ke Kafi Sare Mode Mil Jate Hai,Aapko Kis Mode Se Payment Karni hai Usko Select kare. Mai Aapko Yehi Suggestion Duga Ki Aap BHIM UPI Ya Phir e-Wallet Ya Paytm Ka Use Kare Jis Se Aap Instant Payment kar Paye, Aur Aapki Ticket Aasani Se Book Ho Sake.

Aap Apni Marji Ka Payment Mode Ko Select kare, Aur Simply Niche pay Ke Option par Click kare.make a payment

Jaise Hi Aap payment Process Ko Compete Karege Waise Aapki Ticket Aasani Se Book Ho jaegi. But In Sabhi Procedure Ko Aapko Thoda Fast karna Hoga Kyuki Tatkal Me Tickets kafi jaldi Book Ho Jati hai

Aap Thoda Fast Type Kare Aur fast payment Mode Ko Select kare Aur Sabse Important Baat ki Aap Jitni Bhi Tickets Book Karna Chahate Hai Un Sabhi Logo ko Add passenger Option Me Jakar Add kar Le Jis Se Ticket Book Karte waqt Aapko Un Sabhi Logo Ki Details Ko Fillup na Karna Pade.

Irctc 24 hour Customer Care Number:-

IRCTC Ke Customer Care Number Par Call Karke Aap Koi Bhi Information Ko Aasani Se Le Sakte Hai. Toll-Free:-0755 661 0661

Aadhik Jankari Ke Liye Is Link Par Click Karke Information Le Sakte hai Click Link:-Irctc Contact

Note For IRCTC Booking Tips Just Read It:

  • Tatkal Ticket Book Karne ke Lie Subah (10 se 12 ) Baje Tak 1 user Id Se Keval 2 Hi Ticket Ek Din Me Book ki ja Sakti Hai, Is Se Jada Ticket Aap Book Nahi Kar Sakte Hai
  • 1 Mahine Me Aap Keval 6 Ticket Hi Online Book kar Sakte Hai Kyuki Jo Agents Hote Hai Wo sari Tickets Ko Book kar Lete The aur peoples ke Lie Tickets Book Milne me Kafi Problems create hua karti thi Isliye Aap 1 Month me only 6 tickets Hi Book kar sakte hai.
  • Rat Ko IRCTC Ki Website Ki Maintenance Hoti Hai, Rat Ko (11:30 se 12:30) Baje Tak Ticket Booking Me Problems Aapko Aa Sakti hai, Isliye Is Time aap Thoda Dhyan Rakhe, Ticket Ko BooK Karne Me.

IRCTC Ticket Refund cancellation Charge Ke Liye Is Link Par Click Kare:Cancellation Charges IRCTC

Read Also:- 

About The Post:-

Aaj Ki Is Post Me Maine Aapko Ye Bataya ki Aap Apne Gahr Baithe Online IRCTC App से Tatkal Ticket Kaise Book करे Monile Se Tatkal Ticket kaise Banaye Iski Janakri Aaj maine Aapko Di.

Agar Aapko Ye Post Achi lagi Ho to Aap ise Social Media par Share kare, Aur Agar Aapko Tatkal Ticket Book karne Me Koi Bhi paresani Aaye To Aap Mujhse Puch Sakte Hai, Mai Aapko Jaldi Hi Reply Duga.share Technicalcube

Thank You For Reading This Article. Keep Visit Again In Technical Cube

6 thoughts on “IRCTC App Se Tatkal Ticket Kaise Book Kare?”

Leave a Comment