Online SBI Account Transfer: Agar Aapko Apna Account Transfer Karna Hai Toh Aap Kya Karege? Aaj Bhi Hum Apne Account Ko Ek Branch Se Dusare Branch Me Transfer Karvane Ke Liye Bank Me Jakar Form Fillup Karte Hai, Usme Bhi Hame Kabhi Branch Manager Se Signature KarvanaPadta Hai, Toh Kabhi Accountant Se Balance Clear Karvana Padta Hai. Agar Aap Aaj Bhi Apne Account ko Transfer karne Ke Liye Bank Jakar Apna Time Waste karte Hai Toh Aaj Ki Ye Post Aapke Liye Kafi important Hai, Aaj Mai Aapko Batauga ki Online SBI Account Kaise Transfer kare,Woh Bhi Apne Ghar Baithe, Sirf Kuch Hi Minutes Me, Toh Aaiye janate hai.
2024 मे Online SBI Account Transfer कैसे करे?
Online SBI Account Ko Ek Branch Se Dusare Branch Me Transfer Karne Ke Liye Aapko Kuch Simple Steps Ko Follow Karna Hoga.
STEP:-1 Sabse Pahle Aap State Bank Of India SBI Ki official Website Par Jaye: Click Here
STEP:-2 Aapko Ab Apne Internet Banking Ke Account Me Login Karna Hai, Login Karne Ke Liye Simply Login Ke Button Par Click Kare.
STEP:-3 Aapke Samane Personal Banking Pa Page Show Hoga, Aap Login Karne Ke Liye Simply Continue To Login Ke Option Par Click Kare.
STEP:-4 Aapke Samne Login Ka Page Show Hoga, Aap Apna User Name And Password Fill Kare Aur Login Ke Button Par Click Kare.
STEP:-5 Ab Aapke Samne SBI Internet Banking Ka Page Show Hoga, Aapko Apna Account Transfer Karne Ke Liye e-Services ke Option Par Jakar Click Karna Hai.
STEP:-6 e-Services Ke Options Me Aap Niche Scroll kare, Aapko Transfer Of Saving Account Ka Option Dikhai Dega, Aap Us Par Click Kare.
STEP:-7 Aapko Ab Transfer Of Saving Account Ka Page Show Hoga, Yaha Aapko Aapke Account Ki Details Dikhai Degi, Jaise Account No, Branch, Account Type Etc.
Aapko Apna Account Jis Bhi SBI Ki Another Branch me Transfer Karvana Hai, Us Branch ka Branch Code Enter Kare, Agar Aapko Branch Code Nahi Pata Hai Toh Aap Get Branch Locator Ka Use Karke Us Branch Ka Code Aasani Se Search kar Sakte Hai. Jab Aapko Apna Branch Code Mil jaye To Aap Branch Code Ko Fillup Kare Aur Simply Get Branch Code par Click Kare.
Jaise Hi Aap Branch Code Fiilup Karege, Automatic Branch Name Fillup Ho jaega. Ab Terms And Conditions Par Check karke Simply Submit Ke Button Par Click Kare.
STEP:-8 Ab Aapke Samne Confirmation Ka Ek Page Show Hoga, Jisme Aapke Bank Details Aur Aapka Account Kis Branch me Tha Aur Ab Aap Apna Account Kis Branch Me Transfer kar Rahe Hai, Branch code, Branch name Aur Delivery Sari Details Show Hogi.
Sari Details Ko Confirm Kar lene Ke Baad Aap Simply Confirm Ke Button Par click kare.
STEP:-9 Jaise Hi Aap Confirm Karege, Aapke Registered Mobile Number par Ek OTP Message Aayega, Aapko Simply Us message Ko Fillup karna Hai Aur Confirm Ke Option Par Click Karna Hai.
STEP:-10 Congratulation! Ab Aapko SBI Account Ek Branch Se Dusari Branch me Transfer ho Chuka Hai. Aapki Screen par message Show Hoga Jisme Bola ja Raha hai Ki Aapke Account Transfer Ki Request Successfully Registered ho gayi hai, Aur Aapka Transaction Status Bhi Success Show kar Raha Hai
Yaha Aapko Aapke Accounts Ki Sabhi Information Show Ho Jaegi ki Aapka Account pahle Kaun Si Branch me Tha Aur Ab Kaun Si Branch me Transfer ho Gaya hai. Bus Aap Apne Bank Jaha Transfer hua Hai, Waha Se jakar Aap new Passbook Aasani Se le Sakte Hai, Ab Aapne ye Seekh Liya ki Ghar Baitha Apna SBI Account Ek Branch Se Dusari Branch Me kaise transfer karte hai.
Online Account Transfer Karne Ki Jarurat Kya Hai?
Kabhi-2 Aisa Hota Hai Ki Hum Apna Ghar Shift Karte Hai, Aur Hamar Account Ghar Se Kafi Dur Hota Hai, Aise Me Hum Chahate hai Ki Kisi Paas Ki Branch Me Hum Apne Us Account Ko Transfer Kar le Toh Aisi Condition Me Hamko Account Ko Transfer Karne Ki Jarurat Padti Hai.
SBI Bank Aapko OnlineAccount Transfer Karne Ki Facility Provide Karta hai, Jiske jariye Aap Internet Banking Ki Help Se Apne Account Ko Ek Branch Se Dusari Branch Me Aasani Se Transfer Kar Sakte Hai, Ab Aapko Bank Me Jakar Form Fillup karne Ki Jarurat Bilkul Bhi Nahi Hai.
Read Also It:-
- Free Android App Kaise Banaye- step by step guide
- Online Railway Ticket Kaise Book Kare?
- SBI Debit Card Online Apply Kaise Kare
- SBI Online Internet Banking Kaise Active Kare
About The Post:-
Aaj Ki Is Post Me Maine Aapko Ye Bataya Ki Aap Ghar Baithe Online SBI Account Transfer Kaise Kare? Ab Aap Online Apne Account Ko Transfer Kar Sakte Hai, Wo Bhi Kuch Hi Minutes Me.
Agar Aapko Ye Post Achi Lagi Ho To Isko Share kare, Jis Se Aur Bhi Logo Ko Ye Jankari Mil Sake Ki, Online SBI Account Transfer Kaise kare, I Hope You Like This Post.
Another Useful Article… keep Sharing Such Types of Article
thanks bro..Aise hi articles ab aapko milege don’t worry