SBI Internet Banking का Username कैसे पता करे 2024? पूरी जानकारी जाने

Agar Aapka Account SBI Me Hai, Aur Aap Apne Internet Banking Ka User Name Bhul chuke Hai Toh Aise Me Aap Kya Karege? Kabhi-2 Aisa Hota Hai ki Hum Bahut Sare Username Aur password Create Kiye Hote Hai Like- Facebook Account Ka Alag Username Password, Instagram Ka Alag, Apne Internet Banking Ka Kuch Alag. Toh Aise Me Sabhi Accounts Ke Username Aur password ko Yaad Rakh Pana Bahut Hi Mushkil Hai. Toh Aaj Mai Aapko Ye Batauga Ki Aap SBI Account Ka Username Kaise pata Kare?

Internet Banking User Name Ko Recover Karne Ke Liye Some Required Documents:-

Agar Aapko Apne SBI Internet banking Ka Username Ko Recover karna Hai Toh Aapko Paas Kuch Information Honi Required Hai.

1:- Aapke Paas Aapka SBI Bank Me Registered Mobile Number Hona Bahut Hi Jaruri Hai, Kyuki Agar Aapke Pas Wo No Nahi Hoga Jo Bank Me Registered Hai to Aap Apna username Nahi recover Kar Payege.

2:- Aapke Pas CIF (Customer Information File) Number Hona Chahiye Tabhi Aap Apna Username Ko Recover kar Sakege.

CIF Number Kya Hai? what is CIF Number in Hindi 2022?

CIF Number Aapki Ek Unique Identity Hoti hai Jisme Aapki Kuch Details Like:- Personal Details, Address, Bank Details, Nominee Details, Aapka Phone Number, AAdhar, Pan Etc Details Hoti Hai.

Har Ek Customers Ko Ek Personal CIF Number Bank Provide karti hai. CIF No Hame Online Transaction Ke Waqt Kaam Aata Hai, Ye Kafi jada Important Hota hai. Read More Articles:-Allahabad Bank emPower App में Registration कैसे करे?

SBI Internet Banking Ka Username Kaise Pata Kare

SBI Internet Banking का Username कैसे पता करे? पूरी जानकारी जाने

Agar Aap SBI Account me Internet Banking Ko Use karte Hai, Aur Aap Apna Username bhul Chuke Hai Toh Username Ko Pata karne ke Liye Aap Kuch Simple Steps ko Follow kare.

STEP:1 Sabse Pahle Aap SBI Ki Official Website Par Jaye Click Here:-SBI Website

STEP:2 Ab Aapke Samane SBI Ka Login Page Show Hoga, Aap Simply Login Ke Button Par Click Kare.

login

STEP:3 Aapki Screen Par personal Banking Ka Page Show Hoga, Aap Continue To login par Click Kare.

STEP:4 Ab Aapke Samane Login Ka Page Show Hoga, Aapko Apna Username Pata Karne Ke Liye Niche Forget Username ke Option par click kare.

forget username

STEP:5 Aapke Screen Par Forget Login Username ka Page Show Hoga, Yaha Aapko Apni Kuch Details ko Fillup Karna hai.Aaiye Janate Hai.

cif no etc fillup

  • CIF Number:- Aapko Apna CIF Number Yaha Fillup Karna hai. CIF Number Bank Passbook Me Likha hota Hai.Aaiye Dakhte Hai Ki Bank Passbook Me CIF No Kaha Aur Kis Tarah Ka Hota Hai.

Bank passbook.

  • Country:- Country me India Select kare.
  • INB Registered Mobile No:- Aapne Account open Karte Time jo Mobile No Bank me Diya Tha Wohi registered Mobile No Ko Yaha Fillup Kare.
  • Enter The Text Given Below:- Yaha Jo Captcha code Show Ho Raha Hai, Usko Fillup Kare.

Sari Details Ko Fillup Karne Ke Baad Simply Submit Ke Button Par Click Kare.

STEP:6 Ab Aapke Registered Mobile Number Par Ek OTP Message Aayega, Aapko Us OTP Message ko Fillup Karna Hai. Fillup Karne Ke Baad Simply Confirm button par Click Kena Hai.

otp

STEP:7 Congratulation! Ab Aapka Login Username Aapke registered Mobile No par Send kar Diya gaya Hai, Aur Aapko Aapki Screen par bhi Aapka Username Show Ho jaega.

show username

SBI Ke Taraf Se Mobile Par Username Ka Message Kuch Aisa Aaya Hoga.

username mobile

Ab Aap Is Username ko kahi Note Karke Save kar Le Jis Se Aap Future Me Isko Bhule Na. Ab Aap Apne Internet Banking Me Login Kar Sakte Hai.

Read Also:-

About The Post:-

Aaj Ki Is Post Me Maine Aapko Ye Bataya Ki Aap SBI Internet Banking Ka Username Kaise Recover kare? SBI Me Username Ko Recover Karne Ke Liye Kya-2 required Documents Ki jarurat padti hai, CIF Number Kya hai Etc.

Agar Aapko ye Post Achi Lagi ho To Isko Apne Friends, relatives Ko Bataye Aur Social Media Par Share kare.

Thank You For Reading This Article. Keep Visit Again In Technical Cube

Leave a Comment