Tally Prime Stock Group Kaise Banaye Hindi (2024)

Kya Aap Apne Business Ko Proper Dang Se Manage Karne Ke Liye (Tally ERP 9) Software Ka Use Karte Hai. Agar Ha To Kya Aap Ye Jante Hai Ki (Tally ERP 9) Me Stock Group Kya Hai, Tally Me Stock Group Kaise Banaye Aur Stock Group Ka Tally Me Kya Use Hota Hain, Hamare Business Me Hum Stock Ko Kyu Maintain Karte Hai, Aaj Mai Aapko Stock Se Related Sabhi Jankari Duga. Toh Aaiye Jante Hai

Stock क्या है? What is Stock in Tally Hindi 2023

Sabse Pashle Janate hai Ki Stock Kya Hota Hain. Stock Means Jo Bhi Goods (Maal) Ko Purchase Karte Hai Us Goods Ko Ek Jagah Store Karke Rakhne Ko Hum Stock Kahte Hai. Aur Stock Group Means Jo Bhi Hum Goods Ko Apne Stock Me Rakhe Hai Wo Kis Group, Me Hai. ( Suppose Hume T.v Ko Purchase Kiya Market Se , To wo T.v Kis Company Ka Hai, L.G Ka Hai Ya Phir Sony Company Ka Hai.

Tally Me Stock Group Banana

Stock Groups क्या है? What is Stock Groups in Tally? 

Stock Group Matlab Stock Me Rakhei Hui Ek Hi Type Ki Alag-2 Vastuvo (वस्तुवो) Ko Pahchanane Me Help Karta Hai. Usi Ko Tally Me Stock Group Kahte Hai. Stock Group Ka Means, Types Of Business Se Bhi Hai. Jaise Ki Aap Kis Chij Ka Business Kar Rahe Hai-

Suppose Aap Furniture Ka Business Kar Rahe Hai To Hamara Stock Group Hoga Furniture. Jaise Ki Hume Ledgers Create Karne Ke Liye Groups Ki Jarurat Padti Thi, Usi Tarah Hamko Stock Items Ko Create Karne Ke Liye Stock Groups Ki Jarurat Padti Hai.

Example Of Stock Groups:

1.Laptop ( Main Stock Group).
Lenovo Laptop-Stock Group Under Laptop
HP Laptop-Stock Group Under Laptop
ASUS Laptop-Stock Group Under Laptop

2.Mobile ( Main Stock Group).
Nokia Mobile-Stock Group Under Mobile
Redmi Mobile-Stock Group Under Mobile
Samsung Mobile-Stock Group Under Mobile

Is Example ka Matlab Ye Hai Ki Laptop Ke Stock Group Me Alag Alag Laptops Rakhe hue Hai – Like (Lenovo, HP, ASUS) Etc. Theek Usi Tarah Mobile Ke Stock Group Me Mobile Alag-2 Mobile Rakha Hua Hai- Like (Nokia, Redmi, Samsung Ka).


Tally Me Stock Group Banana? स्टॉक ग्रुप बनाने की प्रक्रिया आइये सीखे?

STEP-1: Tally Me Stock Group Banane Ke Liye Gateway Of Tally Me Inventory Info Par Jake Click Kare Fir Stock Group Me Click Kare, Then Create Option Par Click Kare.

stock group create process

STEP-2: Stock group Me Name Ke Box Me Us Group Ka Name Likhege Jisko, Aapko Create Karna Hai. Example Ham Laptop Ka Stock Group Create Kar Rahe Hai.

stock group create laptop

STEP-3: Under Ke Option Me Hum Primary Hi Rahne Dege.

stock group under laptop

STEP-4: Uske Niche Can Quantity Of Item be Added Me Hum (Yes) Kar Dege, Iska Matlab Ye Hai Ki Kya Aap Quantity Of Item Ko Add Karna Chahate Hai ya Nahi.

Show quantity added

STEP-5: Sari Details Fill Karne Ke Baad Hum Yes Par Click Karke Save Kar Lege. Ab Hamara Stock Group Ban Gaya Hain.

Stock Group Ko Dakhna, Alter करना और Delete करना:

Stock Group ko Dakhne Ke Liye Gateway Of Tally Me Inventory Info me jake Stock Group Me Display Option Par Click Karege, To Aapne Jo Jo Bhi stock Groups ko, Create Kiya Hai wo Sabhi Stock groups Aapko Dikhai Dege.

Stock Group Ko Alter Karna:-

Stock Group ko Edit Karne Ke Liye Aapko Alter Option Me jake Click Karna Hai. Waha par List Of stock group Me Wo group Ko select karege jisko Alter Karna Hai. wo Group Open Ho Jaege, Ab Aap Group Me Details Ko Edit Kar Sakte Hai.

Stock Group Ko Delete Karna:-

Stock Group Ko Delete Karne Ke Liye Bhi Hamko Alter Option Me Jake, List me Jo Group Ko Delete Karna Hai Usko select Karege. Aur (Alt+D) Keyboard Se Press karege Wo Stock Group Delete Ho Jaega.

Single Stock Group Kya Hain?

Single Stock Group me Hum Only Ek Hi-Time Par Ek Hi Stock Group Ko Create Kar Sakte Hai.

Single Stock group

Multi-Stock Group Kya Hai?

Multi-Stock Group Me Ek Hi-Time Me Kai Sare Stock groups Ko Create Kar Sakte Hai.Aur Apne Time Ko Utilize Kar Sakte Hai. Multi-Stock group Create Karne Ke Liye Inventory Info Me Stock group Me Multi-stock Me Jake Crate Option par Click Kare then Aapko Multi Stock group Ki window Dikhai Degi.

Yaha Under Me All Items ko Select Karege Aur Name Of Stock group Me Us Group Ka Name Likhe, Jisko Aapko Create Karna Hai. Aur Under Me Primary Me Rakhege Then Should Quantity Can Be Added Me Yes Select Karege.

Example Yaha Hume T.V, Mobile, Fridge, Computers, Washing Machine Etc Groups Ko Create Kiya Hai.Multi Stock Tally


Technical Cube Tally Hindi Notes free Download 

ebook

Free Sample

Tally Hindi Notes को Buy कैसे करे ??

ebook hindiTally Hindi Notes Buy


Tally Study Materials Download PDF:-

Tally ERP 9 Ke Notes, Syllabus, Inventory Notes, Shortcut keys PDF Me Download Karne Ke Liye Link Par Click Karke Download Kare.

पोस्ट से संबंधित सारांश:-

आज की इस आर्टिक्ल मे मैंने आपको बताया की Tally Me Group Kya Hai? tally me stock group kaise banaye.? साथ ही साथ मैंने सभी Groups के बारे मे विस्तारपूर्वक आपको पूरी जानकारी दी। 

अगर आपको Tally Me Group banane मे कोई भी परेशानी हो, तो आप मुझे मेल कर सकते है , मैं जल्दी ही आपकी परेशानी को दूर करने की पूरी कोशिश करुगा। मैं उम्मीद करता हु की आपको ये आर्टिक्ल पसंद आया होगा, अगर आपको ये आर्टिक्ल पसंद आया हो तो इसको सोश्ल मीडिया पर अपने दोस्तो के साथ जरूर से शेयर कीजिए, जिस से उनको भी ये जानकारी प्राप्त हो सके।

इस Article को पढ़ने के लिए धन्यवाद ! Technical Cube मे दुबारा Visit करे.

4 thoughts on “Tally Prime Stock Group Kaise Banaye Hindi (2024)”

  1. Hurrah, that’s what I was searching for,
    what a information! existing here at this website, thanks admin of this website.

    Reply

Leave a Comment