Tally Me Unit Kaise Banaye 2023? Unit of Measure in Tally in Hindi

Agar Hum Market Me Koi Saman Purchase Karne Ke Liye Jate Hai To, Us Saman Ki Apni Ek Particular Unit Hoti Hai, Theek Isi Tarah Tally ERP 9 Software Me Bhi Hota Hai Ki Kis Bhi Saman Ko Sale Ya Purchase Karne Ki Apni Ek Unit Hoti Hai. Aaj Ki Is Post Me Mai Aapko Tally Me Units Kya Hai, Tally Me Units Ko Kaise Banaye?

Units Ka Tally Me Kya Kaam Hota Hai, Akhir Units Ki Jarurat Stock Items Ko Create Karte Waqt Hi Kyu Padti Hai. Units Se Related Sabhi Jankari Aaj Mai Aapse Share Karauga.

Tally Me Units Kya Hai? what are units in Tally 2023

Tally Me Stock Ko Ek Unit Me Measurement Kiya Jata Hai.Har Ek Vastu (वस्तु) Ki Apni Eak Alag Unit Hoti Hai, Jiske jariye Hum Use Mapate Hai.Stock Item Ko Units, Ke Hi Base Par Sale Ya Purchase Kiya Jata Hai Isliye Unit Ka Role Kafi Important Mana Jata Hai Business Me

.Jab Bhi Hum Apne Business Me Goods Ko Sellout Karte Hai Toh uske Liye Hum Kisi Na Kisi Units ka Use Karte Hai Read More Articles:-Tally Ledger Under Group list in Hindi Pdf

Example Of Units:- Nos (Numbers), KG (kilogram), No (Number), Cm(Centimeter), GM (Gram), MT (Miter), PCS (Pieces), LT ( Liter) Etc.

Tally Me Stock Ko Ek Unit Me Measurement Kiya Jata Hai.Har Eak Vastu Ki Apni Eak Alag Unit Hoti Hai, Jiske jariye Hum Use Mapate Hai. Stock Item Ko Unit Ke Hi Base Par Sale Ya Purchase Kiya Jata Hai Islie Unit Ka Role kafi Important Mana Jata Hai Business Me. Jab Bhi Hum apne Business Me Goods Ko Sellout Karege Toh uske Liye Hum Kisi Na Kisi Units ka Use Karte Hai.

Tally Me Units 2 Types, Ki Hoti Hai? आइये जाने 

  • Simple Unit: Simple Unit Like-Nos (Numbers), KG (kilogram), No (Number), Cm (Centimeter), GM (Gram), MT (Miter), PCS (Pieces), LT ( Liter)
  • Compound Unit: Kisi Ek Product Ko Different Units Ma Kaise Sell Kare Uske Liye Hum Alternative Unit Ka Use Karte Hai.Jin Units Me Ek Sath 2 Units Samil Ho Unko Compound Unit Kahte Hai.
    Example- A Box Of 10 Pieces

Read This Articles:- 

Tally Me Units Kaise Banaye? unit of measure in tally in Hindi आइये जाने 

Tally Me Units Create Karne Ke Liye Kuch STEPS Ko Follow Karne Padege. Aaiye Janate Hai?

STEP-1: Tally Me Units Create Karne Ke Liye Gateway Of Tally Me Jaye Aur Inventory Info Me Click Kare, Yaha Aapko Unit Of Measure Milega Waha Click Kare Aur Unit Create Karne Ke Liye Create Option Par Click Kare.

process of unit creation

STEP-2: Yaha Aapko Unit Creation Ki Menu Dikhai Degi, Isme Type Me Simple Unit Ko Select Kare.unit creation type

STEP-3: Symbol Option Me Aapko Us Unit Ka Symbol Dalna Hai, Jaise Quantity Unit Hamko Create Karni Hai, To QTY Symbol Hum Likhege Short Me.unit creation symbol

STEP-4: Formal Name Me Hum Us Unit Ka Pura Nam Likhege. Jaise Humne Quantity Name Ki Unit Create Ki Hai,  To Uska Pura Name Likhege.

unit creation formal name

STEP-5: Number Of Decimal Place Wo Hota Hai, Jiske Baad Zero Value Aati Hai. Jaise Hum Koi Item (1 Kg) Le Rahe Hai, To No Of Decimal Place Me (1.00) Show kare, Islie Humne Decimal Place Me 2 Liya Hai.

unit creation decimal places

Tally Me Compound Unit कैसे बनाए ? आइये जाने 

Tally Me Compound Unit Create Karne Ke Liye Steps Ko Follow kare.

STEP:1- Yaha Aapko Unit Creation Ki Menu Dikhai Degi, Isme Type Me Compound Unit Ko Select Karege.compound units

STEP-2: Jaise Hamko (1 Hrs In 60 Min) Is Unit Ko Create Karna Hai,To Type Me Compound Unit Ko Select karege,

Uske Baad Units With Multiplier Factor Me First Unit Me, Hrs Ko Select Karege Uske Baad Conversion Me (60) Likhege Then Second Unit Me Min Ko Likhege, Iske Baad Yes Par Click Karke Save Kar Lege.

compound units multi factors

Unit को कैसे देखे? आइये जाने 

Tally Me Stock Units Ko Display Karne Ke Liye Aap In Steps Ko Follow Kare.

STEP:1 Unit Ko Display Karne Ke Liye Unit Menu Me Aake Display Option Par Jaege.unit display

STEP:2 Yaha Par Jo Bhi Units Aapne Create Ki Hui Hai, Wo Sari Units Display Ho Jaegi.

name of unit

Unit Ko Alter/ Delete Karna:-

Tally Me Stock Unit Ko Dakhne Aur Delete Karne Ke Liye Aapko Kuch Simple Steps Ko Follow Karne Padege.

STEP:1 Unit Ko Display Karne Ke Liye Unit Menu Me Aake Alter Option Par Jaege.unit alter

STEP:2 Yaha Par Jo Bhi Units Aapne Create Ki Hui Hai, Wo Sari Units Display Ho Jaegi.name of unit

STEP:3 Jis Bhi Unit Ko Delete Karna Ho, Use Select Karege.deleted unit

STEP:4 Select Karte Hi Wo Unit Open Ho Jaegi, Then Delete Karne Ke Liye Keyboard Se (Alt+D) Press Karege To Wo Unit Delete Ho Jaegi.

delete unit

Ab Aap Tally Me Unit Create karna Aasani Se Seekh Gaye Hoge. Read More Articles:-50+Tally Basic to Advanced Notes Pdf Free Download

Technical Cube Tally Hindi Notes free Download 

ebook

Free Sample

Tally Hindi Notes को Buy कैसे करे ??

ebook hindiTally Hindi Notes Buy

Tally Study Materials Download PDF:-

Tally ERP 9 Ke Notes, Syllabus, Inventory Notes, Shortcut keys PDF Me Download Karne Ke Liye Link Par Click Karke Download Kare.

पोस्ट से संबन्धित सारांश:-

आज के इस आर्टिक्ल मे मैंने आपको ये बताया की Tally Me Unit Kya Hai? Tally Me Units Ko Kaise Banaye? ? Units का उपयोग हम Tally मे कैसे करे, इसकी पूरी जानकारी आज मैंने आपको दी।

अगर आपको कोई भी Problem हो तो आप मुझे मेल कर सकते है। मैं जल्दी ही आपकी परेशानी को दूर करने की पूरी कोशिश करुगा। मैं उम्मीद करता हु की ये आर्टिक्ल आपको  पसंद आया होगा, अगर आपको ये आर्टिक्ल पसंद आया तो इसको सोश्ल मीडिया पर अपने दोस्तो के साथ जरूर से शेयर कीजिए, जिस से उनको भी ये जानकारी प्राप्त हो सके।

इस Article को पढ़ने के लिए धन्यवाद! Technical Cube मे दुबारा Visit करे

3 thoughts on “Tally Me Unit Kaise Banaye 2023? Unit of Measure in Tally in Hindi”

Leave a Comment