Dosto! Aap Kya Instagram Ko Jarur Hi Use Karte Hoge? Kya Aapne Kabhi Socha Hai Ki Instagram Account Me Two-Step Verification Kya Hai? Instagram Account Me 2 Step Verification Kaise Enable/Active Kare? Toh Aaj Ki Ye Post Me Mai Yehi Batauga Ki Instagram Account Me Aap Two-step Verification Ko Kaise Enable Kar, Sakte Hai.
Aapko Yaad Hogi Abhi Hal hi Me Kai Sare Instagram Accounts Hack hue The. To Agar Aap Bhi Apne Account Me 2 Step Verification Ko Enable Karna Chahate Hai, Aur Social Media par Security Ko Double Karna Chahate hai, To Apne Instagram Account Ko Kaise Secure Kare, Two-Step Verification Ki Help Se Aaj Mai Iski Ke Bare me Aap Se Bat Karuga.
2-Step Verification Kya Hai? Aaiye Jante Hai.
2 Step Verification Ya Two Factor Authentication Bhi Aap Kah Sakte Hai, Ek Procedure hai Jiske Jariye Hum Apne Account me Security Ki Ek New Layer Ko Add up Karke Apne Account Ko Secure Kar Sakte Hai. Two-factor Authentication Ko Active Karne Ke Baad Hamko Ek Additional Security Feature Provide Kia Jata hai OTP Verify Jise Hum Bol Sakte Hai. Aapko Apne Account Me Login Hone Se Pahle OTP Message Ke Through Verify Karna Hoga Ki Aap Hi Wo Valid User Hai Ya Nahi.
2-Step Verification Kaise Work Karta Hai?
Aapke Mind Me ye To jarur Aaya Hoga Ki Kyu Hum Apne Account Me 2 Step Verification Ko Enable Kare? Two Step Verification Work Kaise Karta Hai Aaiye Janate Hai, Jab Bhi Hum Apne Account Me Login Karte Hai To User Id Aur password Ko Fillup Karne Ke Baad aap Apne Account Me Login Aasani Se Ho Jate Hai.
Jab Hum Two Step verification Ko Enable Kar Lete Hai To Ek Secure Ki layer Add up Ho Jati Hai Hamare Account Me Jise hum Two-Step Verification Kahate Hai. Is Layer Ke Add ho Jane Se Hum Jab Bhi Apne Account Me Login Karte Hai, To Hamare Mobile No Par Ek OTP Message Aata Hai, Jab Hum Us OTP Message ko Fillup Karte Hai Tabhi Hum Apne Account me Login Ho Sakte Hai. Toh 2 Step Verification Ke Jariye Hum Apne Account ko Secure Kar Sakte Hai.
Instagram Account मे 2 Step Verification कैसे Active करे 2022
Instagram Account Me 2 Step Verification Ko Enable Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Kare. Mai Aapko Mobile Aur Laptop/PC Dono Hi Tariko Se Batuga Ki Two-Step Verification Ko Kis Tarah Apne Account Me Active/Enable Kare, Toh Aaiye Janate Hai.
Method:- Mobile Se 2 Step Verification Active Kaise Kare:-
Mobile Phone Se Instagram Ki App Se Account Me 2 Step Verification Ko Enable Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Kare.
STEP:1 Sabse Pahle Apne Smartphone Me Instagram Ki App Me Jaye Aur Apna Instagram Account Open Kare.
STEP:2 Ab Instagram Account Me Niche Right Side Me Aapko Account Ka Icon Show Hoga, Us par Click kare.
STEP:3 Ab Instagram account me Aapko 3 Line Show Hogi, See The Screenshot. Us Par Click kare.
STEP:4 Ab Aapko Niche Left Side Me Setting Ka Option Show Hoga, Us par Click kare.
STEP:5 Setting par Click Karke Aap Niche Scroll Karege, Toh Aapko Two-Factor Authentication Ka Option Show Hoga, Aap Us Par Simply click Kare.
STEP:6 Aapko Require Security Code Ka Option Show Hoga, Aapko Is Option Par Tick Karke Ok Karna Hai.
STEP:7 Jaise Hi Aap Require Security Code Ko On karege, Aapke Samne Ek Pop up Open Hoga Jisme Turn this On? Ka Message Dikhai Dega, aapko Bus Simply Turn On Par Click Karna hai.
STEP:8 Ab Aapko Apna Phone No Fillup Karna Hai, Phone No Fillup Karne Ke Baad Upar Arrow Ke Option par Click kare.
STEP:9 Aapke Mobile Par Ek OTP Message Aaya Hoga, Aap Us message ko Fill Karke Simply Arrow Par Click kare.
STEP:10 Congress! Aapke Instagram Account Me Two-Step Verification Successfully Active Ho gaya Hai. Aap Take A Screenshot Of Your Backup Codes ke option ko Ok karke Apna Backup Code Ka Screenshot Le Le Aur Is Backup codes ko Ek Jagah Save Karke Rakh Le.
STEP:11 Jab Kabhi Bhi Aapke Instagram Account Me Login karne Ke Dauran Agar OTP Message Nahi Aata Toh Aap In Backup Codes ki Help Se Apne Aacount Me Login Kar Sakte Hai.
Instagram Account Se Two-Step Verification Disable Kaise Kare?
Instagram Account Se Agar Aapko 2 Step Verification Ko Disable Karna Ho To Aap Kaise Karege, Aaiye Janate Hai, Uske Liye Aap In Steps ko Follow Kare.
STEP:1 Sabse Pahle To Aap Apne Account Me Login Ho Jaye Aur Uske Baad Setting Ke option Me Two- Step Authentication Ke Option Me Jaye.
STEP:2 Ab Aapko Require Security Codes Ka Option Show Hoga, Jo Ki On Hoga Aapko Bus Simply Is Option Ko Off Karna Hoga.
STEP:3 Jaise Hi Aap Require Security Codes Ke option Ko Turn Off Karege, Aapke Samne Ek Pop Up Screen message Show Hoga. 2 Step Verification Ko Disable Karne Ke Liye Aapko Turn Off Ke Button Par Click Karna Hai. Aapke Account Se Ab 2 Step Verification Successfully Disable Ho Chuka Hai.
Is Tarah Aap Instagram Ki App Se Apne Account Me 2 Step Verification Ko Enable Aue Disable Kar Sakte Hai, Aur Apne Account Ko Secure Kar Sakte Hai.
Method:2- PC/Laptop Se 2 Step Verification Active Kaise Kare:-
PC/Laptop Se Two-Step Verification Ko Active Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Hai Please Unko Follow Kare.
STEP:1 Sabse Pahle Aap Instagram Ki Official Website Par Jaye Click It:- Instagram Website
STEP:2 Ab Aap Apna User Id Aur password Fillup Karke Apne Account Ko Open Kare.
STEP:3 Apne Account Me Login Karne Ke Baad Aapko Right Side Jakar Account Ke Icon Par Click Karna Hai
STEP:4 Ab Aapko Apne Account Me Setting Ka Option Show Hoga, Aap Simply Setting Ke Option Par Click Kare.
STEP:5 Apki Screen Par Setting Ka Option Show Hoga, Aap Niche Side Me Privacy And Security Ke Option Par Click Kare.
STEP:6 Ab Ap Niche Side Me Scroll Kare, Aapko Two-Factor Authentication Ka Option Show Hoga, Aapko Simply Enable Two-Factor Authentication Ke Option Par Click, Karna Hai. 2 Step Verification Ko Hi Hum Two-Factor Authentication Bhi Kahate Hai.
STEP:7 Ab Aapke Samne Two Factor Authentication Ka Ek Page Show Hoga, Yaha Par Aapko Required Security code Ka Option Show Hoga, Aapko Is Required Security Code Ke Option Par Check Karna Hai, Kyuki Check Karne Par Hi 2 Step Verification Enable Hoga.
STEP:8 Right Security Code par Check Karne Ke Baad Aapko Aapki Screen Par Ek Pop-Up Show Hoga, Aapko Yaha Turn On Par Click Karna Hai.
STEP:9 Ab Aap Apna Mobile No Fillup Kare, Aur Fillup Karne Ke Baad Simply Next Ke Button Par Click kare.
STEP:10 Mobile No Fill Karne Ke Baad Aapke No Par Ek Confirmation Code Aaya Hoga, Aapko Us code Ko Fillup Karna Hai. Aur Code Fillup karne Ke Baad Simply Done Ke Option Par Click kare.
STEP:11 Congratulation! Aapke Account Me 2 Step Verification Successfully Active Ho Chuka Hai. Aapko Aaapki Screen Par Kuch Backup Codes Show Ho Rahe Hoge, Aapko In Code Ko Kahi Par Save Karke Rakh Le, Because Ye Codes Kafi Jada Important Hai. Kabhi Network Issues Ki Wajah Se Age OTP Message Aapke Mobile par Nahi Aata Toh Aap In Backup Codes Ki Help Se Apne Account me Login Kar Sakte Hai.
Bus Simply Go To Feed Button Par Click Kare, Aur Aapke Account Me Ab Two-Step Authentication Successful Active Ho Chuka hai.
Instagram Me 2-Step Verification Kaise Disable Kare?
Agar Aap Chahte Hai Ki Aap Apne Instagram Account Se 2 Step Verification Ko Disable Kaise Kare, Toh Uske Liye Aapko Kuch Simple Steps Ko Follow Karne Padege.
STEP:1 Sabse Pahle Aapko Apne Account Me Login Hona Hai. Uske Baad Aapko Wohi Option Jaisa Humne Upar Aapko Bataya Ki Security Options<< Privacy And Security<< Two Step Authentication Option Me Jana Hoga.
STEP:2 Ab Aapko Disable Two- Factor Authentication Par Click Karna Hai.
STEP:3 Require Security Code Me Jo Check Box Par Tick Hai, Aapko Usko Uncheck Karna Hai. Aap Simply Check Mark Ko Uncheck kare.
STEP:4 Jaise Hi Aap Uncheck Karege Aapki Screen par Ek Pop Up Show Ho Jaega Aapko 2 Step Verification Ko Disable Karne Ke Liye Turn Off Ke Button par Click Kare. Aapko Account Se 2 Step Verification Successfully Disable Ho Chuka Hai.
Agar Aapko Again Two-Step Verification Ko Enable Karna Ho To Aap Upar Bataye Gaye Procedure Ko Follow Karke Aasani Se Apne Account Me 2 Step Verification Ko Enable Kar Sakte Hai, Aur Apne Account Ki Security And Privacy Ko Double Secure Kar Sakte Hai.
Read Also Articles:-
- WhatsApp Business Kya Hai? Whatsapp Business Me New Account Kaise Banaye?
- Whatsapp 2 Step Verification Ko Enable Kaise Kare
- Facebook Two-Step Verification Kaise Active Kare
About The Post:-
Aaj Ki, Is Post Me Maine Aapko Bataya ki Instagram Account Me 2 Step Verification Ko Kaise Enable Kare? Aur Sath Hi Sath Maine Aapko Ye Bhi Bataya Ki Instagram Me Two-Step Verification Ko Disable Kaise Kare.
Instagram Account Me Two-Step Verification Ko Kyu Enable Kare, Iski Kya Jarurat hai. Agar Aapko Ye Post Pasand Aayi Ho To Aap Ise Apne Friends And Relatives Ke Sath Share Kare, Jis Se Unko Bhi Pata Chale Ki 2 Step Verification Ko Enable Kar Account Ko Kis Tarah Secure kar Sakte Hai. I Hope You Like This Post.
Thank you for sharing good knowledge and information it’s very helpful and understanding.. as we are looking for this information since a long time.
Thanks bro
Nice article bro thanks for sharing this article
Nice Information
धन्यवाद
Kya 2 I’d se 2step verification on ho sakta vo bhi ek number se ??