IRCTC Login Id and password create: Kya Aap Aaj Bhi Ticket Book Karne Ke Liye Railway Station Par Line Lagate Hai, Ya Phir Kisi Agent Ki Help Lete Hai Ticket Book Karne Ke Liye. Agar Aap Aj Bhi Aisa Karte Hai To Aaj Ki Ye Post Aapke Liye Hi Hai. Aaj Mai Aapko Indian Railway Ki Website IRCTC Ke Bare Me Batane Wala Hu, Jiski Help Se Aap Ghar Baithe Online Ticket Aasani Se Book Kar Sakte Hai, Aur Railway Station Ke Dhakhe Khane Se Bach Sakte Hai. Aaj Internet Ki Help Se Online Ticket Book Karna Behad Aasan Ho Gaya Hai.
Aaj Mai Aapko IRCTC Kya Hai, Aur IRCTC Me Apna Account Kaise Banaye, In Sabki Janki Aaj Mai Aapko Duga. IRCTC Mai Ticket Book Karne Ke Liye Aapko IRCTC Ki Website Me Account Create Karna Padta Hai, Jiski Help Se Hum Online Ticket Book Kar Sakte Hai.Agar Aapka Account IRCTC Me Nahi Hoga, To Aap Ticket Book nahi Kar Sakte Hai.
IRCTC Kya Hai? What is IRCTC in Hindi 2022?
Sabse Pahle Mai Aapko Ye Batana Chahata Hu Ki IRCTC Ka Full Form Kya Hai, To IRCTC Ka Matlab Hai India Railway Catering and Tourism Corporation Aur Isko Hindi Me Hum“भारतीय रेलवे खानपान एवं पर्यटन निगम” Kahte Hai.
IRCTC Indian Railway Ki Ek Sahayak Company Me Se Ek Hai Jo Ki Hame Catering (Khan-Pan), Tourism (Paryatan) Aur Online Ticket Booking ki Suvidha Pradan Karti Hai.IRCTC Ka Head Office Delhi Me Hai, Aur IRCTC Ki Official Website www.irctc.co.in/ Hai,
Jiski Help Se Hum Online Ticket Book Kar Sakte Hai.Ab IRCTC Ne Apni Official App Ko Launched Kar Diya Hai Jiska Naam IRCTC Rail Connect Hai, Is App Ke jariye Aap Ab Apne Tickets Ko Apne Mobile Se Online Book Kar Sakege.
Jaise Ki Hum Jante Hai Ki IRCTC Ki Official Website Ko Kuch Din Pahle Modify Karke Iska Interface Ko Change Kiya Gaya Hai, Jo Ki Users Ko Kafi Attractive Aur Pasand Aa Raha Hai. Interface Change Hone Ke sath-2 Kafi User-Friendly Bhi Ho Gaya Hai.Ab IRCTC Me Register Karna Aur Bhi Jada Easy Ho Gaya Hai.
Aaj Mai Aapko Mobile Se IRCTC Me Account Kaise Banate Hai, Iski Puri Jankari Duga Kyuki Log Mobile Se Hi Ab Har Kam Karna Pasand Karte Hai, Jo Ki Kafi Aasan Bhi Hai.
IRCTC Me Account Banane Ka Tarika? आईआरसीटीसी पर यूजर आईडी कैसे बनाएं
Mobile Se IRCTC App Ke jariye Account Open Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow kare.
STEP-1: Sabse Pahle Apne Android Mobile Me Play Store Me Jaye, Aur Waha Par IRCTC Ki Application Ko Install Kare.
STEP-2: IRCTC Ki Application Install Karne Ke Baad Usko Open Kare, Open karte Hi Aapko Kuch Is Tarah Ka Interface Dikhai Dega.Ab TRAIN TICKET Option Par Click kare.
STEP-3:Phir Aapko Irctc Ka Page Dikhai Dega. New Account Ko Create Karne Ke Liye Aapko Niche Register Ke Option Par Click Karna Hai.
STEP-4: Register Ke Option par Click Karte Hi Aapko User Registration Ka Ek Form Open Hoga, Yaha Aapko Apni Details Ko Fill karna Hai.Follow This.
- User Name: User Name Me Aapko Ek Koi Unique User Name Ko Create Karna Hoga, Aap Apni Marji ka Koi User Name Create kar Lijiye. Jo User name Aap lege usme (3 se 10) Characters Hi Aap Le Sakte Hai,Aur Aap yaha Only Letters, Numbers Aur Underscore Ka Hi Use Kar Sakte Hai.Aap Koi Special character Ka Use Nahi kar Sakte Hai.Agar User name Select karte Time Red Show Kare To Wo User name Available Nahi Hai, Jo Available Hoga Wo Automatic Green Ho Jaega.
- Password: Ab Aapko Ek Unique Password Create karna Hoga, Aapka Jo Password Hai Wo kam Se kam 8 Characters ka Hona Chahiye Aur Jada Se Jada 15 Characters ka Hona Chahiye.Password ke Andar Kam Se Kam Ek Small Letter, Ek Capital Alphabad Aur Ek Numaric Digit Hona Chahiye, Tabhi Aapka password Accept Hoga Warna Nahi. Yad Rahe Jab Green Colour Show Hoga Tabhi Aapka password Accept Hoga, Red Show Hoga To Nahi Hoga
- Confirm Password: Confirm Password Me Wohi Password Ko Aapko Again Fill Karna Hoga Jaisa Aapne Create kiya Hua Hai.
- First Name: Yaha Aapko Apna First Name Fill karan Hai.
- Middle Name: Ye Optional Hai, Agar Aapka Koi Middle Name Hai To Wo Yaha Fill karege.
- Last Name: Last Name Me Aap Apna Last Name Jo Bhi Hoga Wo Fill karege.
- Date Of Birth: Aap Apni Date Of Birth Ko Fill Karege.
- Gender: Yaha Aapko Male/ Female Jo Bhi Hai, Wo Select karan Padega.
- Mobile No: Aapko Apna Mobile No Fill karna Hoga, Yad rahe Aap Wo Hi Mobile No Ko yaha Fill karege Jisse Aapne kabhi Aur IRCTC ki Website Par Account Create Kiya Hai, To Wo Mobile No Accept Nahi karega islie Dhyan Rahe Ki Wohi Mobile No Dale Jis se Aapne Kabhi IRCTC Par Account Nahi Create Kiya Ho.
- EMail Id: Aapko Apni Ek Email Id Fill karni Hogi, Is Email Id Par Ek Verify Code IRCTC Aapko Send Karega.
Sari Details Ko Fill Karne ke Bad Next Par Click kar Dete Hai.
STEP-5: Ab Aapko Yaha Par Baki Ki Fields Fillup Karni Hai.So Follow It.
- Nationality: Aapko Yaha Aap Kis Country Se Ho Wo Fill karna Hai, Hum Yaha India Select Kar Lege.
- Security Questions: Yaha Aapko Kai Sare Security Questions Milege Aap Unme Se Kisi Ek Que Ko Select Kar Lijiye, Iska use Tab Hoga Jaise Jab Aap Apna Password Bhul Jaege To Aapse Ek security question Pucha Jaega, yaha wohi Security Question Ko Aapko Select Karna Hai.
- Security Answer: Ab Jo Aapne Security Question Ko Select Kiya Hai, Uska Answer Yaha Aapko Fill Karna Hai.
- Occupation: Yaha Aapko Apna Occupation Select karna Hai,Aapka Jo Bhi Occupation Ho Aap Wo Select Kar sakte Hai.
- Marital Status: Marital status Me Aap Jo Bhi Ho Single Ya Married, Wo Select Kar Lege.
Sari Details Ko Fill Karne ke Bad Next Par Click kar Dete Hai.
STEP-6: Ab Aapko Yaha Par Baki Ki Fields Fillup Karni Hai Jaise Aapke Address Details. So Follow It.
- Residential Address: Yaha Aapko Aapke Ghar Ka Address Ko Fill Karna Hoga
- Area: Aapka Jo Bhi Area Hoga Wo Fill kar Dege.
- Select Country: Country Me India Select Kar Lege.
- Pin Code: Aapko Yaha Par Apne Area Ka Pin Code Fill Karna Hai.Aap Jaise Hi Apna Pin Code Dalege Wo Automatic Aapki Distric Ko Select kar Lega.
- City: City Me Aapko Apni City Fill Karni Hai, Aap jaha Rahte Ho.
- Post Office: Post Office Me Aapko Apne Area ka Post Office Ko Select karna Hoga
- Phone Number: Yaha Aapko Apna Phone No Fill karna Hoga, Isi Phone Par Ek OTP Code Aapko Aaega IRCTC Ki Taraf Se Jisko Aapko Verify Karna Hoga.
Sari Details Ko Fill Karne ke Bad Next Par Click kar Dete Hai.
STEP-7: Jaise Hi Aap Details Fill Up Karke Click Karege, Aapko Ek Congratulation Ka Message Aayega.Jisme Wo Bol Raha Hai Ki Aapne Users Ko Successfully Registered Kar Liya hai,Magar Abhi Aapko Apna Mobile No Aur Email Id Ko Verify Karna Hoga.Verify Karne Ke Liye Hamko Apne Account Me Login Karna Hoga Islie Ok Par Click Karke Login Kar Lete Hai.
STEP-8: Apne Account Me Login Karege Apna User Name Jo Aapne Create Kiya Hai, Usko Type Kar Lete Hai Aur Jo Password Hume Create Kiya Tha Usko Fill Karke Login Ke Button Par Click Kar Lege.
STEP-9: Ab Hamko Mobile Par Jo OTP Aaya Hai Aur Jo EMail Id Me OTP Aaya Hai, Un Dono OTP Ko Verify Karna Hoga. Verify Mobile Number Me Aapke No Par Ek OTP Aaya Hoga Usko Fill Karege Aur Aapki Email Id Par Ek OTP Aaya Hoga Usko Fill karke, Verify User Button Par Click Karege
STEP-10: Congratulation Ka Ek Message Aaye Jisme Likha Hoga OTP Verification Successful For The User. Ab Hamra Verification Successful Ho Gaya Hai, Iske Bad Hum Ok Button par Click Karege.
IRCTC Account Me Login Kaise Kare?
STEP-11: Ab Hume Account Create Kar Liya Hai, Ab Hum IRCTC Me Login Karege.
STEP-12: First Time Login Karne Par IRCTC Humse Ek Pin Generate Karne Ko Kah Raha Hai, To Hum Yaha Par Ek 4 Digit Ka Koi Pin Apni Marji Ka Generate Kar Lete Hai Aur Submit Button Par Click Kar Dete Hai. Pin Ko Submit Karte Hi Aapko Ek Message Alart Aaega Ki Remember Pin Means Is Pin Ko Yad Rakhiye Future Me Iska Kam Kabhi Pad Sakta Hai.
STEP-13: Ab Hum Apne IRCTC Account Me Login Ho Gaye Hai, Ab Aap Yaha Par Apni Marji Ke Anusar Train Ko Search Kar Sakte Hai, Koi Railway Se Related Information Ko Mobile se Hi Dakh Sakte Hai, Apni Ticket Aap Is IRCTC Ki Is Application Se Hi Book Kar Sakte Hai.
Toh Is Procedure Se Aap Apne Mobile Se Bahut Hi Aasani Se IRCTC Me Account Create Kar Sakte Hai, Aur Tickets Ko Book Kar Sakte Hai. Aaj Ka Trend Mobile Friendly Trend Hai So Maine Aapko IRCTC Me Account Mobile Ke Jariye Kaise Create Kare Iske Bare Me Details Me Bataya.
Irctc 24 hour Customer Care Number:-
IRCTC Ke Customer Care Number Par Call Karke Aap Koi Bhi Information Ko Aasani Se Le Sakte Hai. Toll-Free:-0755 661 0661
Aadhik Jankari Ke Liye Is Link Par Click Karke Information Le Sakte hai Click Link:–Irctc Contact
Read Also:-
- IRCTC App Se Tatkal Ticket Kaise Book Kare
- Online LIC Premium Kaise Jama Kare?
- Online Electricity Bill Kaise Jama Kare?
About The Post:-
Aaj Humne Ye Jana Ki IRCTC Kya Hai, IRCTC Me ID Kaise Banaye? Apne Mobile Se Online IRCTC App Ke Jariye Account Kaise Open Kare? IRCTC Se Related Sabhi Jankari, Aaj Maine Aapko Batai.Agar Ye Article Aapko Acha Laga To, Aap Ise Share Kare Aur Agar Aapko IRCTC Me Account Banane Me Koi Bhi Problem Aaye, To Aap Mujhe Mail Kar Sakte Hai, Ya Phir IRCTC Customer Care No ( 0755 661 0661) Par Call karke Apni Kisi Bhi Problem Ka Solution Le Sakte Hai. I Hope You Like This Post
Good knowledge for registering in IRCTC website
Thank Shivam Bro
यह पोस्ट मेरे लिए मददगार साबित होगी
bhai bahut achhi jankari di hai
thanks bro keep visiting